menu-iconlogo
logo

Tumko paya hai to jaise

logo
Paroles
M : Tumko paya hai to jaise khoya hoon

Kehna chaahun bhi to tumse kya kahun

Tumko paya hai to jaise khoya hoon

Kehna chaahun bhi to tumse kya kahoon

Kisi zabaan mein bhi woh lafz hi nahin

Ke jinmein tum ho kya tumhein bata sakoon

Main agar kahoon tumsa haseen

Qaynaat mein nahi hai kahin

Tareef yeh bhi to sach hai kuchh bhi nahin

Tumko paya hai to jaise khoya hoon

Shokhiyon mein doobi yeh adaayein

Chehre se jhalki huyi hain

Zulf ki ghani-ghani ghataayein

Shaan se dhalki huyi hain

Lehrata aabchal hai jaise baadal

Baahon mein bhari hai jaise chandni

Roop ki chandni

Main agar kahoon yeh dilkashi

Hai nahin kaheen, na hogi kabhi

Tareef yeh bhi to sach hai kuchh bhi nahin

Tumko paya hai to jaise khoya hoon

F: Tum huye meharbaan

To hai yeh dastaan

Aa.. tum huye meharbaan

To hai yeh dastaan

Ab tumhara mera ek hai karwan

Tum jahaan main wahaan

Main agar kahoon humsafar meri

Apsara ho tum ya koi pari

Tareef yeh bhi to sach hai kuchh bhi nahin

M: Tumko paya hai to jaise khoya hoon

Kehna chaahun bhi to tumse kya kahoon

Kisi zabaan mein bhi woh lafz hi nahin

Ke jinmein tum ho kya tumhein bata sakoon

Main agar kahoon tumsa haseen

Qaynaat mein nahi hai kahin

Tareef yeh bhi to sach hai kuchh bhi nahin

Tumko paya hai to jaise par Sonu Nigam/️ Shreya Ghoshal ️ - Paroles et Couvertures