menu-iconlogo
logo

Sandese Aate Hai

logo
Paroles
oooooo... oooo...

oooooo... oooo...

Sandese aate hain,

hamein tadpaate hain

Jo chitthi aati hai

woh poochhe jaati hai

Ke ghar kab aaoge,

ke ghar kab aaoge

Likho kab aaoge

Ke tum bin yeh ghar soona soona hai

Sandese aate hain,

hamein tadpaate hain

Jo chitthi aati hai

woh poochhe jaati hai

Ke ghar kab aaoge,

ke ghar kab aaoge

Likho kab aaoge

Ke tum bin yeh ghar soona soona hai

Kisi dil waali ne,

kisi matwaali ne

Hamein khat likha hai

Yeh humse poochha hai

Kisi ki saanson ne,

kisi ki dhadkan ne

Kisi ki choodi ne,

kisi ke kangan ne

Kisi ke k e ne,

kisi ke g e ne

Mehakti subahon ne

Machalti shaamon ne

Akeli raaton mein,

adhoori baaton ne

Tarasti baahon ne

Aur poochha hai tarsi

nigaahon ne

Ke ghar kab aaoge,

ke ghar kab aaoge

Likho kab aaoge

Ke tum bin yeh dil

soona soona hai

Sandese aate hain,

hamein tadpaate hain

Jo chitthi aati hai

woh poochhe jaati hai

Ke ghar kab aaoge,

ke ghar kab aaoge

Likho kab aaoge

Ke tum bin yeh ghar

soona soona hai

Aye guzarne waali hava bata

Mera itna kaam karegi kya

Mere gaanv ja mere doston ko salam de

Mere gaanv mein hai jo woh gali

Jahan rehti hai meri dilruba

Use mere pyaar ka jaam de

Use mere pyaar ka jaam de

Wahin thodi door hai ghar mera

Mere ghar mein hai meri boodhi Maa

Meri Maa ke pairon ko chhoo ke tu

Use uske bete ka naam de

Aye guzarne waali hava zara

Mere doston, meri dilruba

Meri Maa ko mera payaam de

Unhein ja ke tu yeh payaam de

Main waapas aaunga, main waapas aaunga

Phir apne gaanv mein,

usi ki chhaanv mein

Ki Maa ke aanchal se

Gaanv ke peepal se, kisi ke kaajal se

Kiya jo waada tha woh nibhaaunga

Main ek din aaunga 4

Sandese Aate Hai par Sonu Nigam/Roop Kumar Rathod - Paroles et Couvertures