Tum mujhe bhool bhi jaao
To ye haq hai tumko
Meri baat aur hai
Maine to muhabbat ki hai
Tum mujhe bhool bhi jaao
To ye haq hai tumko
Mere dil ki
Mere jazbaat ki
Keemat kya hai
Uljhe uljhe se
Khayaalaat ki
Keemat kya hai
Maine kyun pyaar kiya
Tumne na kyun pyaar kiya
In pareshaan sawaalat ki
Keemat kya hai
Tum jo ye bhi na bataao
To ye haq hai tumko
Meri baat aur hai
Maine to muhabbat ki hai
Tum mujhe bhool bhi jaao
To ye haq hai tumko
Zindagi sirf
Muhabbat nahin
Kuchh aur bhi hai
Zulfon rukhsaar ki
Jannat nahin
Kuchh aur bhi hai
Bhook aur pyaas ki
Maari hui iss duniyaa mein
Ishq hi ek haqeekat nahin
Kuchh aur bhi hai
Tum agar ankh churaao
To ye haq hai tumko
Maine tumse hi nahin
Sabse muhabbat ki hai
Tum agar ankh churaao
To ye haq hai tumko
Tumko duniyaa ke
Ghumon dard se
Fursat na sahi
Sabse ulfat sahi
Mujhse hi muhabbat na sahi
Main tumhaari hoon yahi
Mere liye kya kum hai
Tum mere hoke raho
Ye meri kismat na sahi
Aur bhi dil ko jalaao
To ye haq hai tumko
Meri baat aur hai
Maine to muhabbat ki hai
Tum mujhe bhool bhi jaao
To ye haq hai tumko