Falak dekhun, zameen dekhun
Jahan dekhun tera chehra wahin dekhun
Har ek manzar tera manzar
Woh kya manzar jahan tujhko nahi dekhun
Falak dekhun, zameen dekhun
Jahan dekhun tera chehra wahin dekhun
Jalwa ye tera meri jaan hai charon su
Hai kisne tarasha yeh badan marmari sa
Yeh khwabon bhari aankhen, yeh chehra pari sa
Hai kisne tarasha yeh badan marmari sa
Yeh khwabon bhari aankhen, yeh chehra pari sa
Tu hi mera haasil hai, tu hi aarzoo
Bahaaron ko, nazaron ko, sitaron ko
Joh tu na ho nahi dekhun
Falak dekhun, zameen dekhun
Jahan dekhun tera chehra wahin dekhun
Chalakta hai palkon se yeh kaisa nasha hai
Nahi hosh mein koi kya dilkash samaa hai
Chalakta hai palkon se yeh kaisa nasha hai
Nahi hosh mein koi kya dilkash samaa hai
Tera noor chaaya hai, tera hi junoon
O jaan-e-ada tere jaisa
Nahi mumkin kahin koi haseen dekhun
Falak dekhun, zameen dekhun
Jahan dekhun tera chehra wahin dekhun
Har ek manzar tera manzar
Woh kya manzar jahan tujhko nahi dekhun
Jalwa ye tera meri jaan hai charon su