meri jaan
meri jaan na zulfen kholo
kahin raat thehar na jaaye
meri jaan
meri jaan na zulfen kholo
kahin raat thehar na jaaye
meri jaaaan
betaab hawaaein aise mein
khushboo na udaa len baalon ki
khilti huyi kaliyaan chupke se
rangat na churaa len gaalon ki
ye rang kahin
bant jaaye naa
ye husn bikhar na jaaye
meri jaan
meri jaan na zulfen kholo
kahin raat thehar na jaaye
meri jaaaan
in phool si naazuk baahon se
har shaakh lachakna
seekh na le
yoon jaan ke gehri
saans na lo
har mauj chhalakna
seekh na le
lehraa ke tumhaare
aanchal tak
har shokh nazar na jaaye
meri jaan
meri jaan na zulfen kholo
kahin raat thehar na jaaye
meri jaaaan
tum yoon hi qayaamat lagti ho
ab aur adaayen jaane do
maathhe pe ye bal kyun
daale hain
is darjaa sazaayen
jaane do
itna bhi kisi se rootho na
koi jee se guzar na jaaye
meri jaan
meri jaan na zulfen kholo
kahin raat thehar na jaaye
meri jaan
meri jaan na zulfen kholo
kahin raat thehar na jaaye
meri jaan