Ab ke baras
Ab ke baras tujhe dharti
ki rani kar denge
Ab ke baras
Ab ke baras tujhe dharti
ki rani kar denge
Ab ke baras
Ab ke baras teri pyaason
mein paani bhar denge
Ab ke baras teri choonar
ko dhaani kar denge
Ab ke baras
Yeh duniya tofaani
hai, behta sa paani hai
Tere hawale yeh zindgaani
Yeh zindgaani kar denge
ab ke baras
Ab ke baras tujhe dharti
ki rani kar denge
Ab ke baras
Duniya ki saari daulat
se izzat apni pyari
Mutthi mein kismat hai apni
Humko mehnat pyari
Mitti ki keemat ka jag
mein koi ratan nahi hai
Zillat ke jeevan se
badtar koi kafan nahi hai
Desh ka har deewana apne
praan cheer kar bola
Balidano ke khoon se apna
rang lo basanti chola
Ab ke humne jaani hai
Sabne man mein thaani hai
Hamlawaron ki khatam kahani
Khatam kahani kar denge ab ke baras
Ab ke baras tujhe dharti
ki rani kar denge
Ab ke baras
Sukh sapnon ke sath hazaron
Dukh bhi toone jhele
Hansi khushi se bheege Phagun
Ab tak kabhi na khele
Chaaron or hamare bikhre barodi afsane
Jalti jaati shamma,
jalte jaate hain parwane
Phir bhi hum zinda hain
apne balidano ke bal par
Har shaheed farmaan de gaya
Seema par jal jal kar
Yaaron toot bhale hi jaana
lekin kabhi na jhukna
Kadam kadam par maut milegi
Phir bhi tum na rukna
Bahut seh liya ab na sahenge
Seene bhadak uthe hain
Nas nas mein bijli jaagi hai
Baazu phadak uthe hain
Singhasan ki khair karo
zulmon ke thekedaron
Desh ke bete jaag uthe
tum apni maut nihaaro
Angaaron ka jashan
manega har shola jaagega
Balidano ki is dharti
se har dushman bhagega
Humne kasam nibhani hai,
deni har kurbani hai
Humne kasam nibhani hai,
deni har kurbani hai
Apne saron ki, apne saron ki
Antim nishani dhar denge ab ke baras
Ab ke baras tujhe dharti
ki rani kar denge
Ab ke baras
Ab ke baras tujhe dharti
ki rani kar denge
Ab ke baras
Ab ke baras tujhe dharti
ki rani kar denge
Ab ke baras
Ab ke baras tujhe dharti
ki rani kar denge
Ab ke baras