Jaya Shiv Shankar Omkara (Omkara)
Tere sir par hai jaldhaara, ho, tere sir par hai jaldhaara
Jaya Shiv Bhole Jataadhaari (Jataadhaari)
Teri mahima sabse nyaari, ho, teri mahima sabse nyaari
Tum sansaari, vairaagi ho
Tum sansaari, vairaagi ho, kaise bane sansaari re?
Mere vairaagi Baba (vairaagi Baba)
Mere vairaagi Baba
Donon roop hain adbhut tere
Donon roop hain adbhut tere, donon roop niraale re
Mere bhole se Baba (bhole se Baba)
Mere bhole se Baba (bhole se Baba)
Jaya Shiv Shankar Omkara (Omkara)
Tere sir par hai jaldhaara, ho, tere sir par hai jaldhaara
Bhagirath ne ki tapasya nyaari
Bhagirath ne ki tapasya nyaari
Ganga pad gayi sab ko bhaari
Ganga pad gayi sab ko bhaari
Prithvi par Ganga ko laakar
Kiya uddhaarak kaam re
Mere paropkaari (paropkaari)
Mere paropkaari (paropkaari)
Jaya Shiv Shankar Omkara (Omkara)
Tere sir par hai jaldhaara, ho, tere sir par hai jaldhaara
Jaya Shiv Bhole Jataadhaari (Jataadhaari)
Teri mahima sabse nyaari, ho, teri mahima sabse nyaari
Jataa mein Ganga, bagal mein Gaura, kaisa rachaa sansaar ye?
Jataa mein Ganga, bagal mein Gaura, kaisa rachaa sansaar ye?
Gale mein sarpon ki hai maala, kaisa roop niraala ye?
Gale mein sarpon ki hai maala, kaisa roop niraala ye?
Piye ho vish ka pyaala re, kaisa roop niraala ye?
Piye ho vish ka pyaala re, kaisa roop niraala ye? (Jaya Shiv Shankara)
Piye ho vish ka pyaala re, kaisa roop niraala ye? (Shiv Shankara)
Piye ho vish ka pyaala re, kaisa roop niraala ye? (Jaya Shiv Shankara)