Kahan hoon main?
Kin sadkon pe main, khoya hoon?
Kaun hoon main?
Kya mera naam?
Anjaane cheheron ke
Khaali aankhon mein
Apni kahani hai likhi
Aankhen band karke
Chalte chalte
Yeh main kahan aa pahuncha hoon?
In jaalon mein faste faste
Ab nikal na paoon
Zanjeeron mein bandhe bandhe
Ye main kahan jaa rahan hoon
Ruk ke bhi main sochoon na?
Saanson ko bhool kar
Apnon se munh mod kar
Hum chale
Dheere dheere
Waqt ki in leheron mein
Bheed ke is keher mein
Behte hue
Dheere dheere
Andhere se nikalna chahoon
Ujaale se kyun darta hoon?
Parchaiyon ki gehraiyon mein
Dooba jaaoon
Aankhen band karke
Chalte Chalte
Yeh main kahan aa pahuncha hoon?
In jaalon mein faste faste
Ab nikal na paoon
Zanjeeron mein bandhe bandhe
Ye main kahan jaa rahan hoon
Ruk ke bhi main sochoon na?
Apni hi dhadkan se
Hum paraye hue
Aur chale
Dheere dheere
Apnon ki dooriyan
Hum se kuch kahe na
Mar miten
Dheere dheere
Saanson ko bhool kar
Apnon se munh mod kar
Hum chale
Dheere dheere
Waqt ki in leheron mein
Bheed ke is keher mein
Behte hue
Dheere Dheere…