menu-iconlogo
logo

Lagi aj sawan ki

logo
Testi
Lagi aaj sawan ki phir woh jadhi hai 2

wohi aag seene mein phir jal padhi hai

lagi aaj sawan ki phir woh jadhi hai

Kuch aise hi din the

woh jab hum miley the

chaman mein nahin phool

dil mein khiley the

wohi toh hai mausam magar ruth nahin woh

mere sath barsat bhi roh padi hai

lagi aaj sawan ki phir woh jadhi hai 2

Koi kash dil pe jara hath rakh le

mere dil ke tukdoh ko ik sath kar le

magar yeh hai khwabon

khayalon ki baatein

kabhi toot kar cheez koi judhi hai

lagi aaj sawan ki phir woh jadhi hai 2

wohi aag seene mein phir jal padhi hai

lagi aaj sawan ki phir woh jadhi hai

Lagi aj sawan ki di Chandni - Testi e Cover