bhole baba, tere charnon mein aaye hum
ab to de do sharan
haathon mein bhabhuti teri, gale rudra maala hai
tujhse hee laagi lagan
bhole baba, tere charnon mein aaye hum
ab to de do sharan
shiv ka naam lo to jhoothe jahaan mein bhee lagtaa hai apnaapan
socho to sau mushkilen, naa socho to ek bhee nahin
ye maaya ka kaisa hai bharam?
shav hoon main shiv ke binaa, shiv hai to mujhamen shwaas hain
shiv mere aradhya aur hum saba hee shiv ke daas hain
har kan-kan mein too hee samaaya re
too hee aadi, too hee anant
unche un pahaado pe rahata mera bholaa hai
apanee hee dhun mein magan
bhole baba, tere charnon mein aaye hum
ab to de do sharan
haathon mein bhabhuti teri, gale rudra maala hai
tujhse hee laagi lagan
om tryambakan yajamahe sugandhin pushtivardhanam
urvarukamiv bandhananmrityormukshiya maamritat
om tryambakan yajamahe sugandhin pushtivardhanam
urvarukamiv bandhananmrityormukshiya maamritat