Aks cheen lo mere lafz hi kaafi
Mera raks cheen lo mera wakf hai saathi
Mujhe hosh nai par me nai hun nashay me
Khamoshi orh me bhi reh lu mazay me
Kya karun
Zameer pareshaan karay
Khol mic pe jo dil me toofaan chale
Warna to saarey rappers naachte aur gaatey
Aur ham jese rang me aake bhang na milaate
Naqabposh rooh yehi mera khulaasa
Me martay we logon ko deta dilaasa
Dam toray kitno ne hathon me mere
Par un raaton ke bhi ug gaye sawairay
Phir kyun dohraa raha baatain ye saari
Mujhe aaj kal khud se hi ghin aati
Jaari kese maa puche pese kahan se kamaane
Aur me laga shaayaron ke qallam dafnaanay
Wah waahian batorta phire ye likhaari
Par andar se iski bhi jaibain khaali
Mujhe apni khabbar nahi aaj kal
Me sab ki khabbar tumhe kya hi sunaun
Apni kalaa ko leke me kis mulk ko jaun
Yahan sab ko hi mazay lene diss wale scene ke
Marzi se manto bazaarion ki bheer me
Nahi ginta note apna bech ke zameer
Meri rooh abhi laabia ke paar urray
Larkay ab bhi jism me khaamia nikaal rahe
Dekhun me sooraj ki aankhon me aankhain daale
Inhe lage mujhe koi khof hai zawaal se
Raat ke hain dhai bajjay ghariyan ye ghoomti nai
Gum gai insaniyat dunya ye dhoondti nai
Waqt kiske paas ke dusron pe ghor kare aafat ki dair ye aik
Dusre pe dor charhain khamosh paani me phenkte ye pathar
Jab aajae selaab to ye bhaagte hain dar kar
Koi bartar nahi ye haqeeron
Ki basti khareed lete kal ye ameero ki masti
Mujhe rehne do ramz me, rehnde do ranj me
Tujhse mukhatib na kar ra koi tanz
Par tu andar se khokla ye tu bhi hai waakif
Aur apni tareef ke pull tu bhi to baandhay
Aur tu bhi to kaandhay pe auron ke
Jaega tu mitti me ro ro ke
Kabhi apno ke peeche
Kabhi sapno ke peeche
Kabhi teri qabbar
Tu kar le sabbar
Takkabur to doob gaya neel me
Log phail jaate inhe qudrat jo dheel de
Ye pentron me maahir ye saare
Saambri andar se inki bhi roohain hain kaanpri
Tujhse hazaron milenge bazaaron me
Uncha bhi pohunche to sajega mazaaron pe
Haron me dab ke ye doob jaana dhar
Soch ke liye bhi koi bandobast kar
Taakey tere baad bhi wo raah dikhaa sake
Mat likh ke tu laakhon kamaa sake
Rappers ko yahan sab se banna hai bartar
To kaat’te hain jarain aik dusre ki lar kar
Aik hi kitaab ke tum dono ho safhay
Kya dekha kabhi faiz aur manto ko larte
Ye aapas ke maslay ye itne baray nahi
Ke inki khaatir ham
Hip-hop ko tabaah karain
Bas itni soch leke qalam uthaana ke aane
Wale logon ke liye me tum kya chor chale
Dunya ko dekho
Chaaron aur aag lagi
Me tum kya lar rahe ke kon acha kon nahi
Me bhi to qaidi isi chiryaa ghar ka
Ye jungle ka jungle khilona bannay phirta
Darinday parinday yahan lage hain numaish me
Aik dusre se karna chahain aazmaaish
Yahan kisi rihaish la-faani
Aankh band afsaana khattam sabki kahaani
Ye dunya bhi rooh apni kho chuki kabki
Sard aur khokli ye murda si chal rahi
Me aur tum iske qaatil ham saare
Ghonp ke khanjar ham isko sulaa rahe
Ke soja umeed hai ke kal behtar hoga
Par kal kisne dekha
Ye kal ab bhi dhoka
Pehle tujhe tuney doosron ko sonpa
Ye kal ab dhoka