menu-iconlogo
logo

Main Awara

logo
Lirik
Jo safar mein mila tu

Ik jaadu sa chadha hai

Aise toh kai baar hua hai

Lekin yeh khumaar naya hai

Aage badh jaati hai

Baatein yeh rukti toh nahin

Chal chalein hum kahin

Tedhi in raahon pe rukna gavara nahin

Jo bhi hai, hai sahi

Main awara

Tujhse kya chupana

Main awara

Tune na pehchana

Silsila jo chala hai

Aisa toh pehli baar hua hai

Humsafar tu bana hai

Naya sa yeh safar ban gaya hai

Aage badh jaate hain

Sapne yeh rukte toh nahi

Naye bun le abhi

Tedhi in raahon pe rukna gavara nahi

Jo bhi hai, hai sahin

Main awara

Tune na yeh jaana

Main awara

Tune na pehchana

Jo safar mein mila hai

Usey mere safar se gila hai

Na jaane kyun woh khafa hai

Hua yeh jaane kitni dafa hai

Mujhko toh raahon mein

Rukne ki aadat hi nahi

Kal bhi tha main yoon hi

Dard khoob hota hai

Patthar dil hum bhi toh nahi

Phir milenge kahin

Main awara

Tune na yeh jaana

Main awara

Tune na pehchana

Main awara

Ab bhi kya samjhana

Main awara

Ab tune pehchana