menu-iconlogo
logo

Kabhi Kabhi

logo
Letra
Kabhi kabhi mujhe apno se dar lage

Kabi kabi mujhe mere sapno se dar lage

Kabhi kabhi lage har koi dar par hai

Kabi kabi lage har shaksiyat me garbar hai

Kabhi kabhi mujhe apno se dar lage

Kabi kabi mujhe mere sapno se dar lage

Kabhi kabhi lage har koi dar par hai

Kabi kabi lage har shaksiyat me garbar hai

Kabhi kabhi sochu koi na kareeb ho

Kabi kabi sochu ke hum itne gareeb ho

Ke phek ke hum paisa dafna na pae sach ko

Jhoot agar bolu to kabar na naseeb ho

Naseeb na ho kabar me bolu agar jhoot ek

19 saal kee zindagi me dekhi duniya two faced

Rooh pesh log kar dete laakh me

Ginta apne aib kesa kaatu raate daag me

Awaaz de or me hazir madad ko

Tu panne ghumata me parhta sabak ho

Tum haq lo agar haq ke haqdaar

Me kese karu baat tujh se badkirdaar

Teri thaali se kuch khaya nahi to kese haq jataega

Kamate paise kaise mujhe tu bataega

Han 14 saal kee umar se kar raha hustle be

Hath tha tight tabhee paise kee qadar hai

Zamaane mujhe daad de han jab bhi likhu haadse me

Kasam se soya nahi hu pichle 2 3 raat se me

Ye mere k**e mujh se seekh mujhe hee kaatte

Bhalai ka zamana nahi hum phir bhi kala baatte hai

Azaadi Sheher me ye jhoot tujh se kon bola

SHO se setting to kar qatal agar mood ho raha

Maazrat agar tujhe lag raha ke me rude hora

Paise tera gayab ye naseeb nahi ye Sood Bola

Khoob bola baap mera parh likh ke aage bhar

Kyun meri raate phir bhi guzri hai in naako par

Ya to is Sheher se hai pyaar kaafi ziada

Ya to fatiha parhne kee adat hogai hai yaha laasho par

Samjh nahi aati mujhe baat ek haan

6 afraad 2 roti bhara un ka kaha pait

Baap kama nahi paa raha ghar chala nahi paa raha

Bete maare taane agar mili un ko half plate

Dil to dukhega na sharam se wo jhukega na

Dhoop me paidal chal raha qadam us ka rukega na

Hisaab rupe ka na tabhee chora subeh khaana

Ghar me roti deni to mobile to wo lootega na

Likhta me haadse tu keh le is ko Aap beeti

Khuda hai gawah kese kese meri Raat beeti

Dhoke pe dhoke ye duniya galti maanti nahi

Jeena seekha thore me ayashiyo kee maang nahi kee

Na kisi ke jor ka na koi mere jor ka hai

Mene to seekhi hee toote dilo ko jorna hai

Aleem tu sach bol yaha koi nahi bolta hai

Aleem jab sach bole khoon in ka kholta hai

Kabhi kabhi mujhe apno se dar lage

Kabi kabi mujhe mere sapno se dar lage

Kabhi kabhi lage har koi dar par hai

Kabi kabi lage har shaksiyat me garbar hai

Kabhi kabhi sochu koi na kareeb ho

Kabi kabi sochu ke hum itne gareeb ho

Ke phek ke hum paisa dafna na pae sach ko

Jhoot agar bolu to kabar na naseeb ho

Khuaisho pe taale maare parwarish aulaad kee

Me bhoola nahi hu kese kese guzri un kee raat thi

Kamata apna khaata apna kyun fikar samaaj kee

Me aage nikla larke kyun ke soch ye azaad thi

Mujhe bata mat idhar kon kidhar kiya keh raha hai

Mujhe pata hai kon mere baare kiya keh raha

Aaj sab sath hai to tu bhi mere sath dera

Milne de hate me bhi dekhta hu kon sath dega

Kabhi kabhi lage sahi raah pe jaa raha hu me

Kabhi kabhi lage ghar me betha kha raha hu me

Par Kabhi kabhi lage jitna mil raha bohot hai

Par kabhi kabhi lage itna kum kyun kama raha me

Jala dia poora apna maazi mene

Ab har koi tayyar mujh se raazi kehne

Seekh liya duniya me jeete jee sab kuch

Ek cheez nahi seekhi mohtaaji mene

Azaad me awaaz de me haazir hu bhai

Namazo me sajde me ja giru bhai

Log pooche bhai tu milega kaha

Me bolu jaha wafa ka dera waha milu bhai

Na me kisi ke jor ka na koi mere jor ka hai

Mene to seekhi hee toote dilo ko jorna hai

Aleem tu sach bol yaha koi nahi bolta hai

Aleem jab sach bole khoon in ka kholta hai han

Kabhi Kabhi de aleemrk – Letras & Covers