menu-iconlogo
logo

Peero

logo
Letra
Peero yeh kesa iztarab

Peero yeh kesi gandi khali kali gali jesi shaam

Peero hum dunia daari mein bhe bachpan hee say thay bilkul baikaar

Jis ko dil say seedha jana dunia ulta samjhi kaam

Aur peero banda tu mein acha tha par dost meray bilkul namakool

Banta tu mein burger tha par aslan dakiyanoos

Lekin sureeli mein apni awaz ki waja say tha mashoor

Han Peero bansari bajaon mein tu sab mein hi maqbool

Peero dou number sakoon mein apni rahon pay maghroor peero peero peero

Nur e mashrik ka nazool mangay afsurda saroor

Peer peer peer

Han yeh dunia mujh say dur dur dur dur dur

Dur dur dur dur

Kha kay bay maqsad thaphar teacher

Socha kuch aisa tha zaroor

Lagtay bay maqsad maqtab jitnay bhe hain maghrib say mansoob

Aur alim fazil bhe hain peero kesay saray mantak mein majzoob

In asbaaq kay auraaq mein alfaaz neech, oonch la shaor

Peero jab jhooti ho zaban

Kesay poori ho namaz

Peero peero peero

Han peero mit gaye laqeer

Banday ban gaye faqeer

Peer peer peer

Han yeh dunia mujh say dur dur dur dur dur

Dur dur dur dur