menu-iconlogo
logo

Rukh

logo
Letra
Itnay likh diye gaanay kay ab likha hi nahi jaata

Seh chuka hu gham kay ab khila bhi jaata

Sabar kiya kafi lekin silah hi nahi ata

Zindagi mein teri mera zikar hi nahi ata

Halaato kay bai'is sanjeeda pehlay daur say

Zakham itnay milay puchou pasandeedah kaunsay

Milatay nahi nazar naa hi dekh paatay ghaur say

Fikar rehti itni puchay haal kisi aur say

Ab dekhte hi dekhte mai khud say hu door

Hosh na hawaas tabhi milta sukoon

Dekhte hi dekhte mai logo say door

Hosh na hawaas tou mai khud say milu

Par jab tak yaha rahengay hun

Aur jab tak yaha rahega dam

Phir tab tak yaha banengi baatain

Phir tab tak yaha sunengein sab

Maa jab dekhti shows kay posters beta jab khara houta unka stage pay

Baap bhi houta hai khush dekh k podcast random page pay

Sabsay bari fan banay meri family

Lekin kabhi kabhi really just cant believe

Mera music karna bana meri sanity

Kabhi ruknay nahi wala meri guarantee

Tou phir kese ab dil yeh chahega nahi

Milta hai pyaar bhallay faida nahi

Wou bolein yeh shareh ki jeet hai

Sunu yeh baat tou mehnat hou rayega nahi

Phir kese jahaan dohrayega nahi

Jou gaanay tum gaatay wou gayegaa nahi

Sarhad k aar aur sarhad k paar, sar hiltay gaano pay tou i can see

'Verses' mai likh kay ab thakk gaya

Mujhe hai likhni tareekh

Upar jab khara hun stage pay

Mujhe sab dikhta bareek

Tumpe jab beth'ta likhnay

Kiu mai likh deta tareeef

Wou puchtay rehtay hai har bar

Mai bar bar bolun mai theek

And I'm not in the state k likhu ab gaanay mai roz

Aur kuch hi yaha bachay hai dost

Tou beta yaha baatain na (nai)

Betey baatain na kar yaha maathay hai shaat

Dou sifar say bana dete hum 8

Sifar say leke chaley thay jou art

Ab sifar hi barhtay rehtay seedhay haath

Mere baray nahi jaantay tou zikar na kar

Puch haal na ehwaal meri fikar na kar

Mere jese tune sunay lekin dekhe na par

3 cameras tabhi leta bigger picture

Ab wider perspective, I'm picturing bros

Changing the pose, kuch trophy, awards

Hum likh rahay tab say jab nahi tha cause

Waqt leti cheezain and I'm waiting ofcourse

Kabhi chaltay rehna lagay theek

Kabhi chaltay gaye hum ruk

Kabhi khud say na-umeed

Kabhi khud say milta sukh

Kabhi chaltay rehna lagey theek

Kabhi chaltay gaye hum ruk

Kabhi chaltay lagay ajeeb

Badaltay gaye hum rukh

Rukh de Shareh/superdupersultan – Letras & Covers