Sun le tu meri O re khuda
Arzi hai meri Meri dua
Raatein bheegi hein bikhri hein hum hain gumzada
Sun le tu meri, ek martaba
Tujhse hai chotti se yeh ilteja
Ho bas chaino aman ke nishaan har jagah
Naa ho raatein bheeni bikhri si aur gumzada
Suna hai dard ka mehram tu
Suna har marz ka marham tu
Toh kyun ab tak in raahon se
Hai anjaan tu yeh hairat hai
Jo hua jab hua jaise hua
Teri marzi se kya muqabala
Ho Jo hua jab hua jaise hua
Teri marzi se kya muqabala
Aage ab bata jaane hoga kya
Rehmat e alam ki hai ab darkaar
Sun le tu meri O re khuda
Arzi hai meri meri dua
Aarzoo pak masoom ho har subah
Fikr e Fardaa sehma sa na ho na dil zada
Kahin hai dehshat darmiyan
Hai kahin vaishi manmarziyan
Rishwatein hain kyun jaayas yahaan
Raahon mein soya najayas yahaan
Khamoshi teri kar rahi bayaaan
Rootha hai muddat se baar e illah
Jo hua jab hua Jaise hua
Teri marzi se kya muqabala
Ho Jo hua jab hua jaise hua
Teri marzi se kya muqabala
Aage ab bata jaane hoga kya
Rehmat e alam ki hai ab darkaar