Ye  jo  des  hai  tera  
Swades  hai  tera  
Tujhe  hai  pukaara  
Ye  woh  bandhan  hai  
Jo  kabhi  toot  nahin  sakta  
Ye  jo  des  hai  tera  
Swades  hai  tera  
Tujhe  hai  pukaara  
Ye  woh  bandhan  hai  
Jo  kabhi  toot  nahin  sakta  
Mitti  ki  hai  jo  khushboo  
Tu  kaise  bhoolayega  
Tu  chaahe  kahin  jaaye  
Tu  laut  ke  aayega  
Nayi  nayi  raahon  mein  
Dabi  dabi  aahon  mein  
Khoye  khoye  dilse  tere  
Koyi  ye  kahega  
Ye  jo  des  hai  tera  
Swades  hai  tera  
Tujhe  hai  pukaara  
Ye  woh  bandhan  hai  
Jo  kabhi  toot  nahin  sakta  
Tujhse  zindagi  
Hai  ye  keh  rahi  
Sab  toh  paa  liya  
Ab  hai  kya  kami  
Yun  toh  saare  
Sukh  hai  barse  
Par  door  tu  hai  
Apne  gharse  
Aa  laut  chal  tu  
Ab  diwaane  
Jahaan  koyi  toh  
Tujhe  apna  maane  
Awaaz  de  tujhe  bulaane  
Wahi  des  
Ye  jo  des  hai  tera  
Swades  hai  tera  
Tujhe  hai  pukaara  
Ye  woh  bandhan  hai  
Jo  kabhi  toot  nahin  sakta  
Ye  pal  hai  wahi  
Jis  mein  hai  chhupi  
Koyi  ek  sadi  
Saari  zindagi  
Tu  na  poochh  
Raaste  mein  kaahe  
Aaye  hain  is  
Tarha  do  raahein  
Tu  hi  toh  hai  
Raah  jo  sujhaaye  
Tu  hi  toh  hai  
Ab  jo  ye  bataaye  
Chaahe  toh  kis  disha  mein  
Jaaye  wahi  des  
Ye  jo  des  hai  tera  
Swades  hai  tera  
Tujhe  hai  pukaara  
Ye  woh  bandhan  hai  
Jo  kabhi  toot  nahin  sakta  
Ye  jo  des  hai  tera  
Swades  hai  tera  
Tujhe  hai  pukaara  
Ye  woh  bandhan  hai  
Jo  kabhi  toot  nahin  sakta  
Ye  jo  des  hai  tera  
Swades  hai  tera  
Tujhe  hai  pukaara  
Ye  woh  bandhan  hai  
Jo  kabhi  toot  nahin  sakta