menu-iconlogo
logo

Tasweer

logo
Тексты
Khuda ne ser ko kaha toh phir chalenge kabhi

Safar taweel hai raaste milenge kabhi

Tumhari yaad ka ek baagh laga baite hai

Hazaro phool issi umeed mein khilenge kabhi

Lakeer kheench ke jo teer bana baita hu

Ek ajeeb si tasweer bana baita hu

Tum khuli aankh se kab tak khuwab dekhoge

Main bichhre yaar ki tabeer bana baita hu

Main khud mein qaid hu zanjeer bana baita hu

Khud ko kis qadar haqeer bana baita hu

Ke ab tu hi rahe ghaib mein aur zahir bhi

Tere jaiso ko main peer bana baita hu

Charo aur hain afsurdagi din dhal chuke hain

Jo dil mein dard the do pal keliye pal chuke hain

Tum dekh aaye ho dunya tho ab wapasi kyun

Hum uss maqam pe nahi wahan se chal chuke hain

Humari iss tarah se koi guft gubhi rahе

Itne paas ho ke teri khushbu bhi rahе

Tujh mein main basu mujh mein tu bhi rahe

Ke kaam ho bhi jaye aur mera wazu bhi rahe

Aur yeh sab bolne ko mera jaana mun bhi rahe

Seene mein dil bhi rahe tu bhi rahe Rooh bhi rahe

Mili hai duniya lekin teri aarzu bhi rahe

Hum tum se duur khare hoke tumhe chuu bhi rahe

Hum paharon mein uray baaz the ab cheel bane

Mere ashar mere gaane meri feel bane

Aur tere liye tho yeh sab bas ek reel bane

Mere sheher mein tho sab tere wakeel bane

Kuch tho hadd se guzar gaye ke zaleel bane

Tu ab tu na raha kon tera kafeel bane

Ab jo likh diya hai woh meri daleel bane

Tum tho raaste dikha ke un mein keel bane

Uski bohot calls aayi uski bohot calls aayi

I got her calling on my line

Ten months ten millie got her calling on my line

Uski bohot calls aayi uski bohot calls aayi

And now she wanna switch sides I got her calling on my line

Mein tere dil ki deewaaro pe lage aayine sa

Tu mujh mein khud ko na dekhe tho mein bemaayne sa

Mein tujh mein sou husn bhi dekhu tho woh kam lage

Tujhe sunaye jo woh gham toh woh bay-gham lage

Ab dhale sham aur din charhe toh yeh khuda ka karam lage

Par din dhale aur sham ho tou mujhe yeh soch lare

Hum larke the achhe bhale lekin aajkal samne dunya jahan ke nashe pare

Meri sohbat mein tou saare rajhe pare

Kyun sab kuch likhta hu gaano mein

Kyun kuch nahi kehta hoon baato mein

Gaane likhe hain jahazo pe

Main roya hoon kai janazo mein

Poora na utra hu baato pe

Seedha nahi chal pata raato mein

Jo guzar chuke bare yaad aaye

Par zehen mein mere ek baat aaye

Kya un ki bhi koi yaad hai?

Kya main bhi hoon un ki yaad mein?

Khudaya mein ziada akela hoon

Ya shayad woh ziada akele hain

Nadan tha jab usse dafnaya socha hum wapas ab wahi pe milenge

Par ab wahan khak hai bas

Hum yaado mein zinda toh rehte hain zindagi tou bekar hai bas

But I got happy hours khul mila ke Forty Eight

Jaise adaton ke hatho shakhsiat hi apni ab khou di hai

Par qalam utahunga abhi bhi tho Bhai se hard tho koi nahi hai

Parde kya daalu parda jab uthaye to pairo pe phool hi girenge

Ishq hai mera mazaar aur jaan tumhe yahan phool hi milenge

Ab aao aur tum chahe gale bhi laga lo, hum tumhe duur hi milenge

Ab hosh mein rakha hi kya hai hum nashe mein choor hi milenge

Hum bare qareeb se milte the ab kitne ajeeb se milenge

Ab milne ki wajah hi nahi hai mile tho naseeb se milenge

Ab tum bhi tum nahi rahi

Ab main bhi main nahi raha

And you’re still calling on my phone

Mein teri call le nahi raha

Uski bohot calls aayi uski bohot calls aayi

I got her calling on my line

Ten months ten millie got her callin on my line

Uski bohot calls aayi uski bohot calls aayi

And now she wanna switch sides

I got her calling on my line