menu-iconlogo
logo

Bandish

logo
Тексты
Yeah, yeah, yeah

20 saal phassa 9 to 5 kay jail mai (yeah, yeah)

Chakki peesi, yeh samjhay bacho ka khel hai

Aiming high, aur upar mere goals bhi

Sangat kari kam lekin kam mere dost nahi

Pareshan sab kay sochay jata mai kidhr

Subah 8 jata, raat 12 ata ghar

Rishto ki door maine katay saaray dhaagay

Dagha jou krte maine touray unsay naatay

Yeh dastan meri parr mai tou koi yas nahi

Saanp itnay mile tabhi kaati maine ainsteen

Ab tank top pehna khara jaise wife beater

Joey Badass motherfucker mic eater

Asal pasand, mai puzzled

Bassad yeh dekh ke

Nazar yeh logo ki qasar nahi chori thi tori thi fassal

Thouri thi hustle darasal bolay yeh naqal

Nikal Nickel sa shine mera jese Faiz likh raha hou yeh ghazal

Yeh sansani khez, yeh lafz barood

Logo ki loot kaalay kartoot

Seerhi nahi kamiyaabi ke pahaar charhnay

Basta hai peechay aur mukhlis mere 4 jannay

Handicapped halaat hey kept me far away

Khojun khushi jaro mein taur nakaam padhay

Manzil saaf lekin rashta kesa dhua dhua

Ankhay nam aansuo say bhara qu′aa hua

Afsurdagi khoya hosh dhuwa khansay

Ab band qalam

Band aankhein, khirki se yun maazi jhankay

Dil mein khuf-E-khuda aur hausle buland

I'm focused on my aim

Mera bus aik hi azam

Duniya aik fitoor milte rahte bas zakham

Kaamyabi soch ke barhata reh qadam

Koi kisi ka na yahan

Kathin hai raashta zara

Bas mere saath hai Rab mera

Bujhe na jalti ye samaa

Kalakaar badzaat nai hota kala ki koi zaat nai

Bin maa ke baray huye Mere yaar

Tou phir kaise aayegi yaad nai

Kaam bolay, baat nai

Wo mattha hi kya jo ho shaat nai

Jo baatein main likhta hu apne aik verse Mein

Tujh jaise likh saktay aath nai

Dafnau in saaro ko

Aur Karun inki qabarao pe gardening

Waqt ne kiya hai launday ko sakht

Toh aayenge kaise ye hard nai

Mere veriyaan di maa raati soyi nai

Neend ki gooliyan ka asar usay hoyi nai

Lakht-E-jigar ki fikar mein Wo royi gi

Lakht-E-jigar ki qabar pe main khada

Had-E-nazar tak Dikhein sirf murday

Aise lagay jaise sirf mein hi nai mara

Aise lagay Jaise ke mein Bhutto bro

Sahi samjhay haan main Bhutt hu bro

Marna Hai sab ne, i′m good to go

Good books mein na rakhu kisi chuttu ko

Sudh budh kho betha mein hu khud ko bro

Urdu Rap and i go hand in Hand

Urdu rap ball toh mein foot hu

Urdu rap neighbour toh main hood Hu

Mera Wu tang flow beta time two times low

Tera choo chein bohot

And you're too damn slow

Aik taraf tum Aik taraf YS

Ab public toh hogi na bias

Aur is he baes deni chor'di Fucks jab hit kiya baees

Mein nai judge but i walk in and i make all Rise

Alright, alright Hum he don, hum hi dawood, hum hi noise

Hum hi loud

Alright Alright

I′m runnin′ the game you're Runnin′ your mouth

Alright, alright

Dil mein khuf-E-khuda aur hausle buland

I'm focused on my aim

Mera bus aik hi azam

Duniya aik fitoor milte rahte bas zakham

Kaamyabi soch ke barhata reh qadam

Koi kisi ka na yahan

Kathin hai raashta zara

Bas mere saath hai Rab mera

Bujhe na jalti ye samaa

Mera exam tha, haatho mein kalam nai chal raha dimaag ye

Jo khabar Mili mujhe bekhabar saare phir bhi nai ruka tha haath ye

Pooche aansu Maine aapne baap ke

Lee koi kitaab nai phir bhi jawaab de

Haazir Jawaab mai, dard is awaaz mai

Likh rahay haadshay

Pairon mein kaanch thay

Cut throat, Gallay kaatein mere bol bhi

Mere aagay bol nai Urdu Rap pe hold jaani

Ghuma mai lahore bhi Mere jaise aur nahi

Log karen call mujhe

Alag Meri torr bhai

Dealen karu lock

Is kalakaari ka koi jorr nai

Sar pe zimmedaarim aaj bhi kisi verse Mai jhol nai

Lakhon chahne waalay mere bechi maine soul nai

Muu boli Qeematein dengay hum loan nai

Nai hota copy Is flow ki monopoly

Banda mai sau feesad asli

Samaji nai Pehni new Jersey

Par main toh kadafi nai

Beat pe barbaadi ab ho chuka aadi Main

Nai rukne wala bachpan se hi bhaagi mai

Ladke Karachi ke Har waqt jazbaati Hum paapi puraanay

Tu goli maar chaati pe Peeth peeche bharvat

Ye launday Tekashi se

Haath bandh pen choor meri baat maan

Ghiss Chhote tu, kya kar raha diss mujhe baap maan

Hype dunga Karachi mai

Naam lega laakh baar

Ye nai Baghban, meri aankh laal, lagi aag bahir

Aa ke jhank man

Hum hain wo jarr jis ki tu mehaz ek shaakh man

Talent Apna rasta khud banata, pooray khuaab man

Lafzon ka darya ye Doobe saharay pe

Mujhko bula rahay the

Patti padha rahay thay

Mere tajurbe ne roka

Hum ja rahay thay Pahle chaba rahay

Hum samjhe bechare Log humse kama rahay they

Hum bhi kamaanay den Khuda hai gawaah

Tu bara tu jaane de

Jaane de, jaane de

Dil mein khuf-E-khuda aur hausle buland

I′m focused on my aim

Mera bus aik hi azam

Duniya aik fitoor milte rahte bas zakham

Kaamyabi soch ke barhata reh qadam

Koi kisi ka na yahan

Kathin hai raashta zara

Bas mere saath hai Rab mera

Bujhe na jalti ye samaa