Nazaron mein tw sabki par aata nhi nazar
Mehnat ki dil se chori na koi kasar
Sab kuch gawaa dia or kitna sabar
Nhi hota mehsoos nai hota kuch asar
Musafir hu dunya mein karta bus safar
Haathon se apnay khud khod raha qabar
Karte sab qadar khojaanay k baad
Zindagi mukhtasar mile ek hee baar
Palat k nhi aatay moqay lagataar
Sab moqay kho deta parwardigaar
Hu gunahgaar apni ghalti tasleem karta
Jeena dushvaar par tjhpar yaqeen karta
Bus ik funkaar dil ki tafseer karta
Gaya thak haar par ab tk umeed rakhta
Achay dino ki mehnat k silon ki
Umeedein judi mjhse kaafiyon ki
Deewar hasraton ki lachar muddatton ki
Sar pe sawaar horahi sarfaroshi
Kesi madhoshi ye kesi khamoshi
Kiun jeeta ye zindagi mujrimo si
Kiun jeeta ye zindagi dil jalon si
Lar chuka boht ab mar chuka khof
Raazi hun maalik ab teri raza mein
Likhi ho chaahay phir manzil ya maut
Har roz larhta jung khud apne aap se
Har roz jeeta jaise yeh din aakhri
Afsos sub chehre dhakay naqaab se
Afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain
Har roz larhta jung khud apne aap se
Har roz jeeta jaise yeh din aakhri
Afsos sub chehre dhakay naqaab se
Afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain
Aisa kuch falsafa mila sab se
Jeene ko kuchalne hai khwaab apne
Maazi mei band qaid duniya hai meri
Aur mein nikal parha hu qismat se ladne
Roz mein sochta kya chhorhdu yeh sub kuch
Haar dun khud ko taake log mere sub khush
Ya hojaaun khud kush aur khud ko mein maardu
Par apne fun ko kaise mein zinda gaadhdu
Na koi hai aarzu no den kisi ko dagha
Par jaib mei na ho taka, to koi kaise mera sagha
Zindagi jung hai ya zindagi yeh sazaa
Mehnat ki khaatay na koi chhota na koi bara
Kesa ye marz meri koi dawa nahi
Par bina is dard ke jeene ka maza nahi
Kam horaha qarz par dhal rahi jawani
Khaya mei tars khud pe kabhi zara nahi
Ab jo hona hone do
Kia bacha khone ko
Kia faida rone ko
Raat k kuch ponay do
Karwatain leraha taras raha mein sone ko
Khuli aankh se dekhta khuaab hu mei paranoid
Phir log mujhe kaatne ko bethe
Gine chune log dard baatne ko bethe
Gham jaanchne ko bethay
Jokhay you are not focused sb daantne ko bethe
Kabhi na mile phir bhi naam mera lete
Na jaante na maante par yaar bane bethe
Dete thay saath nahi par aaj dekho kaise
Mehnat mein meri hissedaar bane bethe
Daavedaar bane bethe
Kaamiyaabi ki ye meray zimmedaar bane bethe
Inquilaabu hu mei jaise peeche saath chalain mere
Qurbaani deta mei aur yeh bus saamp bane bethe
Har roz larhta jung khud apne aap se
Har roz jeeta jaise yeh din aakhri
Afsos sub chehre dhakay naqaab se
Afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain
Har roz larhta jung khud apne aap se
Har roz jeeta jaise yeh din aakhri
Afsos sub chehre dhakay naqaab se
Afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain
2020 mujhay rap bore karay rap pe uboor mera
Ye gaanay addictive aur phenku back to back tou tootay na suroor mera
Aja baat karein zindagi ki yun he agar milay gi zindagi ke mor par
Mere chaaro taraf gandagi thi tullay khaatay rishwat paidagiri road par
Mein 17 mein bigra mein 23 sambhlaa mein 16 ka famous
Maara maari aur jhagra aur laanjo ne jakra par likhaari tagra mein likh likh nai thakk raha
Rehta hu jangi haalat mein ready for war ye qalam ki maar hai
Aadhay rappers inspired hain mere se aur jo nai hain wo mujhse bezaar hain
The guy who sang marijuana mere saath chikkay marijuana over time out of city hota ana jaana
Real talk tumhein mushkil hai samajh ana
And the guy who sang jo tu na mila usay face to face
Tu kabhi na mila ye larkay sab hustle pe chaltay hain in larko ko apne se na milaa
Famous tabhi low key tujhay koi report nai mein kis se kab kahan mila
Hum video banatay he nai hain kis mu se kaho ge shakal pe kaam mila
Tujhse bara network tujhse zyada net worth mein nai banta rapstar
Kabhi internet par laya rap map par lekin mein nai rap god
Agar mein nai rap god abay tou phir tu kaun
Mein ghar tha urdu rap ka mujhay maloom hai kaun yahan mehmaan
Mujhse beef karlo do hazaar bees mein koi
I willll smack that bitch like i am akon
Jaikant shikray mein is game ka
Leke bethay mandate kaafi der ka
Tu aaj aya kal gaya hum rahein der paa
Tu raakh hua jall gaya bujh ke andher tha
Har roz larhta jung khud apne aap se
Har roz jeeta jaise yeh din aakhri
Afsos sub chehre dhakay naqaab se
Afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain
Har roz larhta jung khud apne aap se
Har roz jeeta jaise yeh din aakhri
Afsos sub chehre dhakay naqaab se
Afsos yeh ke ghum bhi behisaab hain