menu-iconlogo
logo

Mutaasir

logo
Тексты
Aankhain band, sochen jaari

Kaise bayaan karu lafzon mei zindagaani

Kaise shaaya karu aankho se behta paani

Kaise bataaun hai dikhaave ki yeh khush haali

(Yeah, yeah yeah!)

Kaampta jism jab bhi niklu khud ki talaash mei

Paas na koi, dekhta tha khud ko apne baap mei

Woh bhi na raha mei kis ko dekhu apne aap mei

Ab Maa hi mera saaya warna tha aik zinda laash mei

Kya sab lahaasil hai?

Khuahishen thi bohat zikar karne se ab qaasir hain

Koi yahaan kaamil nai, seekhte khataaon se

Mehnge parhe shauq, par hum thehre un par qaadir hain

Zamaana naazir hai, gawah mere fun ka

Pyaar milta itna kya mei laaiq hu is sab ka

Shukarguzaar hu mei ke mile mujhay log aise

Wohi log jinse raabta mera mazboot thaa

Jaane is din ke liye hum ne din dekhe kaise kaise

Koi apne naam pe keecharh uchaale aise kaise

Kuch rishte khoon ke nahi par hain barh ke khoon se

Aik dooje ko dete sahaara hum khud jaise taise

Tae kiya safar jidhar ko koi rasta jaata nai tha

Jinko lagta tha kal tak mujhko to kuch aata nai tha

Unhi ke munh se apni tareefen ab sunta hu mei

Bataane ke liye shukriya ke kitna umda hu mein

Darasal baat yeh ke humne haalaat dekhe

Pal mein palat′te logon ke sarron se taaj dekhe

Aik baar jo utre dil se laakh koshish karle phir tu

Ab nai rukkne waala chaahay roke koi awaaz deke

Sachhayi yeh ke koi nai mehnat karna chahta

Subko chahiye waqt se pehle hadd se zyaada

Dil mei mel kaise munh pe banke aatay meethe

Peet peeche bharwatain aik dooje khud taangen khenchen

Woh mutaasir meri wafa se

Khuloos bhara hilta kese apni jagah se

Wo kese mujhe dagha den

Shayari se zarf den, bhui aur likho, saza ye

Woh mutaasir meri wafa se

Khuloos bhara hilta kese apni jagah se

Wo kese mujhe dagha den

Shayari se zarf den, bhui aur likho, saza ye

Krta shayari per kis tarah ka shayar hon

Main akhr kis mizjaab ka! Khud ki samjh sey bahir hun

Main kuch to zahir hun, shayad isi main mahir hun

Main batien krta bari ya sirf aik mu ka fire hun

Rozana likhney bethon to lafz safon pe naachtey

Kya yeh bhi meri tarah nashey mai Ghabri hokey khaanstey

Dhondo agar to mujhe milti koi waja nah

Kyun rakh hue panney! Shayad geet mere aag they

Kis ko gawah banao! Koi bacha na

Main seedha admi tha aadmi ka koi sagha na

Sher zakhmi bhi sher hai do Dawa na

Music Bana yeh junoon aur dil Kahin laga na

Sar phira tou Sar Qalam, laundey low rehtey

Fly mode jigar! On the go rehtey

Tu bhai hai to sath hai tu sath reh tu bhai hai

Laundey 420! Phir bhi 100 rehtey

Ye qalam kaghaz ka raas ni hai

Badal sirhaana lekin mere pass jahaaz nai hai

Khuli kitaab dunya se rakhe koi raaz nai hain

Baaz kiun ayen, jab ungli uthaana laazmi hai

Dil ko qurbaan kiye, apno ko pehchaan diye

Sath poori army hai, Rap k liye jaan dee hai

Jokhay Gawah Rehna, Talha tu gawah haina

Ye sab beemar thay, humse kehtay thay dawa dena

Sookha ye galla mera, piyaasay kharay stage pe

Dunya walay dekhtay, par hum tou khaali pait thay

Mehlon mai bethay saalay darte wo iss khet se

Paisa kia cheez ab mai bhaari in ki jeb pe

Paid hate campaigns, ye laat tere pait pe

Sher ko na cher be, sarr charte jese Beer ye

Rhymes double, mai karta inka mind boggle

Wine baghal mai nai chahiye opener, meri grind double

Shine pakartay hain shayar meri line pakar

Director's cut baby, AD hai tou joint pakar

Hustle ko dena chahta hu mai ab resign magar

Rap yahan na pohanchta, na karta dealen sign agar

Sath detay,jo apne hain wo sath dete

Daagh dekhay, dil hote bagh bagh dekhay

Jo khuaab dekhay woh tou jee raha mai aaj betay

Baap ko hai naaz mujhpe yehi mera Taaj betay

Mai tera zehan, mai zaheen bhi

Sarr pe mere kaam ziada, kehlo mujhe team bhi

You know, It was all a dream

Ab Dekhu apna bank balance hota yaqeen nai

Woh mutaasir meri wafa se

Khuloos bhara hilta kese apni jagah se

Wo kese mujhe dagha den

Shayari se zarf den, bhui aur likho, saza ye

Woh mutaasir meri wafa se

Khuloos bhara hilta kese apni jagah se

Wo kese mujhe dagha den

Shayari se zarf den, bhui aur likho, saza ye

Mutaasir от Jokhay - Тексты & Каверы