Betha souch main kahin
Rehta khojta wahin
Jidhar se hai paana mushkil
Meri souch hai wahin
Main tou khud se door hun
Dikhay mujh ko tu nahin bs
Ghutnay hain zakhmi phir bhi
Jhuktay hain wahin
Likhay gaanay kitne aag se haath na jalay
Likhtay jaaray saari raat jab chaand na dhalay
Ghisay raastay saaray na kisi waastay
Saaf thay ghaas na daaltay kabhi yeh saath na chalay
Kholay khudi gaanoun main thay mere raaz jo
Tu khara raha wahin rotay raha aik hi baat ko
Hn souch meri door ki thi kaafi
Aur tu souchta raha qala meri milegi haathoun
Akela main shuru se
Aatay jaatay ladkay bantay sab guru thay
Yeh dhas jaatay ghuroob main
Hum kirnoun main milte khilte seedha tulu se
Jhukun main aagay bs rab ke
Kabhi na sunta main aagay se bs yeh
Boltay hain bewajah sach hai nhi lab pe
Manzil qareeb hoti jaa rahi hai ghar se
Nahi bachi nawaazishain na insaniyat
Hn horhi hai mujhe ab is duniya se bezariyat
Bekaar hi sab bikhaari yeh mashoori ki kahaaniyaan
Gila bhi na dikha kisi ka dil ye sab ke khaali ab
Taari mujh pe maazi mera haal tou sab jaantay
Jaari kalakaari meri, yaar bhi na jaantay
Ghar walay pareshaan bolain beta saans le
Kal jo thay phastay woh tou kharay haath baand ke
Betha souch main kahin
Rehta khojta wahin
Jidhar se hai paana mushkil
Meri souch hai wahin
Main tou khud se door hun
Dikhay mujh ko tu nahin bs
Ghutnay hain zakhmi phir bhi
Jhuktay hain wahin