Aankhein meri ik arse se jaagi nahin
Sapnon mein khoya raha
Dil ko sukoon mila kare jis jagah
Dil vahin lagata raha
Gaanon ki beaton pe jhoomoon main
Haath uthaake hawa mein
Apni hi dhun mein jee loon main aaj
Kal kisne dekha
Befikri is lamhe ki
Tum bhi toh chakho zara
Donon hi dhut ho nashe mein yoon
Ab koi kahe kya
Qismat ki gaadi liye nikal pade hum
Mauj ke din aaye phir roke kyon aankh male hum
Chaahe museebat agle mod pe aaye
Darna bhala kyon hum sher hain aandhi ke aage khade hum
Khuda se bas maangte rahe
Mila jo woh gavaate rahe
Khud mein khojne ki koshish na kari
Jise bachana tha usko hi maarte rahe
Main toh boond hoon, kabhi barasta
Kabhi waqt ki nadi mein behta
Kabhi gham aaye toh main sehta
Khushi ho toh usko baantne mein rehta
Baaki sab fizool ki baatein hain
Kabhi din kabhi mili raatein hain
Jiye jaane ka toh maqsad yahin
Ek hi zindagi hai aur hum sajaate hain
Gaanon ki beaton pe jhoomoon main
Haath uthaake hawa mein
Apni hi dhun mein jee loon main aaj
Kal kisne dekha
Befikri is lamhe ki
Tum bhi toh chakho zara
Donon hi dhut ho nashe mein yoon
Ab koi kahe kya
Qismat ki gaadi liye nikal pade hum
Mauj ke din aaye phir roke kyon aankh male hum
Chaahe museebat agle mod pe aaye
Darna bhala kyon hum sher hain aandhi ke aage khade hum