Main kabhi na aun jo kya mujhe phir bhi dhundoge
Main zubaan na kholun toh kya mujhe phir bhi sunloge

Hijr mein hum jal gaye the toh ab tak nahi hain bujhe
Aur hifaazat se rakhli hai jo tasalli di tune mujhe
Khat jo thae padh chuke kya unhe phir se khologe
Tere ghar ka raasta rata hai
Jaise khoon ko ratein hain inn ragon ke raaste
Tere sang waqt jo kata hai
Meri maiz pe saja hai aur tanga diwaaron pe
Hijr mein hum jal gaye the toh ab tak nahi hain bujhe
Aur hifaazat se rakhli hai jo tasalli di tune mujhe
Haath thae jo sar talae neend mein phir tatologe