yeh hai meri kahani
khamosh zindagani
sannata keh raha hai
kyun zulm seh raha hai
ek dastaan puraani
tanhaayi ki zubaani
har zakhm khil raha hai
kuch mujhse keh raha hai
chubte kaante yaadon ke
daaman se chuntaa hoon
girti deewaron ke
aanchal mein zinda hoon
bass yeh meri kahaani
be-nishaan nishaani
ek dard beh raha hai
kuch mujhse keh raha hai
chubte kaante yadoon ke
daaman se chuntaa hoon
girti deewaron ke
bajaay pyaar ki shabnam
mere gulistaan mein
baraste rehte hain har simt
siyahiyon se ulajh padti hain
meri aankhein
koi nahin, koi bhi nahin jo batlaaye
main kitni der ujalon ki raah dekhunga
koi nahin, hai koi bhi nahin
naa paas naa duur
ek yaar hai dil ki dharkan
apni chaahat ka jo aelaan kiye jaati hai
zindagi hai jo jiye jaati hai
khoon ke ghoont piye jaati hai
khwaab kaanton se siye jaati hai
ab naa koi paas hai
phir bhi ehsaas hai
siyahiyon mein uljhi padi
jeene ki ek aas hai
yaadon ka jungle yeh dil
kaanton se jal-thal yeh dil
chubte kaanten yaadon
ke daaman se chunta hoon
girti deewaron ke