Ek dafa zikar hai
Thodi purani baat hai sahi se yaad nai
Mera ek dost tha Balli
Yaaro ka yaar bhaiyo ka bhai
Wo dil ka tha bohot he saaf
Haan kuch adatein kharab thi
Ye baat hai 2012 ki Charas
Sharaab toh shehar mein aam thi
Balli gareebi mein bara hua
Usne dekhi nai shan-O-shaukat
Wo chahta tha paisa bohot saara
Lene ko ready tha wo koi bhi shortcut
I’ll cut short to jab usne ye socha ke
Ek pistol chahiye 2 larkay jayein ge
2 peechay ayein ge, fielding lagayein ge
Kaam dikhayein ge aur phir nikal jayein ge
Aur aisa he hua sab laute
Ghar ko jebo mein note he note
Balli bhi khush hai wo maare
Dum bhi Balli ko yaad nai maut
Par maut ki baat nai karte
Kyun ke is kahani mein wo aage aani hai
Aaja maa tujhe main shopping
Karwaun tu fikar nai kar paisa pani hai
Aaja hum ghoomne chalein
Tu mujhe ghumaati thi ab meri bari hai
Balli ki maa he thi sab kuch
Balli ka baap is dunya mein raha nahi
Balli ko jaanta tha bare
Aarse se Balli aur mere mein parda nai
Balli ka khauf tha larko mein
Par use pata tha main us’se darta nai
Aur jab bhi milta tha us se mein
Kehta tha jaani ke ye laanje theek nai
Lekin mein jaanta tha uske pass
Koi degree ya certificate nai
Dhundhi par mili nai naukri
Ab bhooka toh roti he maangta hai
Teri nazar mein wo bas ek dacoit
Par bhook ko bhooka he jaanta hai
Aur upar se asle aur nashe ka
Mix toh hamesha hota hai lethal
Balli was losing control paise ke
Chakkar mein thok diya dealer
Balli ko dhoond rahi police lagi hui dafa 302
Aur tum socho ge mujhe kisne
Kaha ye sab tou phir tum aage suno
Waise tu jaanta haina
Tere naam ki goli pehle Balli he khayega
Chal aaja
Tension? Sab se bari tension tou tum ho mere liye
Ye jo bhi ho raha hai na tere saath
Ye tere kiye ki saza hai
Jani ye haraam ka paisa kab tak chalega
Pani ki tarah behta hai ye
Shaam mein milte hain jaani, aur haan
Abba se mil lena apnay
Ab Balli tha rooh posh use
Din raat ki bhi hosh nai
Wo kisi pe nahi kar sakta
Bharosa use pata hai koi uska dost nai
Wo sab toh matlab ke log thay
Balli akela koi us’se close nai
He thought he would die like a hero
Kyun ke villains ke marne pe hota soug nai
Ab pistol hai haath mein lekin
Batao na himmat wo kaise jutaye
Maa ka chehra ata saamne jab
Bhi uski ungli trigger pe jaye
Maathe se paseena ponche
Sar phatte dard se baal apne nooche
Sunai dete use sirens
He’s paranoid and he’s violent
Wo nikla phir tang aake ghar se
Khatam saare paise khatam hain charsein
Aur aise mawaqo pe hota shaitaan
Sawaar humaare hawaas pe
Mein ne awaaz di Balli ko dekh
Ke wo bola milein ge shaam mein
Ab mujh jaisa mehez ek insaan
Bhalla Kya bolay ga khuda ke kaam mein
Aur Saddar ke aitraaf maare
Gaye hain do namaloom afraad
Baraamad hui unke pass se
Pistol kuch phones aur manshiyaat
Ab Balli toh bacha nahi lekin
Mera ye gaana hai us he ke naam mein
Waada hai mera ke jis din
Mein maru ga milein ge
Us he din shaam mein
Same spot, tere ipod mein
Wo Hopsin aur K dot
Good kid mad city bari sach baat
Meri sheher ki hawa mein nai insaan
Insaan gumrah yahan insaan
Sanjeeda hain mere saaray unwaan
Qissay mashoor qabar gumnaam
Sunsaan galiyan hain saari sunsaan
Sun le khuda mein dunya se anjaan
Sun down, bad shit pops, guns out
Madadgaar 15 times runs out
Balli I’m smoking my lungs out yeah
Balli aur mein, Balli aur mein
Galliyon mein, galliyo se
Balli aur mein, Balli aur mein
Gallion mein, galliyo se