Jahan se shuru ki baat
Wahin per aake khatam
Ab tk zindagi ne dikhaaye
Mujhe srif sitam
Gutham gutha apni hi
Qismat se me lar raha tha
Pyaar ki dor ko sooli
Bana kar charhraha tha
Main rahoon ya na Rahoon
Tujhe fikar nhi hoti
Agar hoti tu kya tu
meri tarha na roti
Jaise main jagta hoon khuwaab mein
Tere aane ke dar se
Zyada tar bahar hi
Rehny laga me ghar se
Nasha kiya mila sukoon
Waqti tor ka
Hone laga seene me dard phir
Bari zor ka
Karke sar ki taraf
Mu apni pistol ka
Nashe me intezar karoun
Teri call ka
Mera haal puch koi baat kr
Ghalti se tu kabhi
Mujhe yaad kr
Marun hath pair
Main raat bhar
Yaar tera
Aaj bhi moutbar
Yaqeen kr meri baat ka
Me dil ka bura nahi hoon
Jahan se tune choura aaj bhi
Me khara wahein hun
Chorous:
Kya hua gar dil mein tere
Mujhko lekr kuch nhi hai
Thori thori hi sahi pr
Sansain ab bhi chal rahi hein
Ishq mera ek mazaar aur
Aashiqui meri qabar hai
de bhi jao haazri ab
Sirf teri muntazir hein
Ankheiyan uddeeg diyan
Dil waja maar da
Aaja pardesiyan wasta
Ae pyaar da
Saan meri tuchalli ae
Teny me pukaar daa
Vekh le mur ke tu ve
Haal ki ae yaar da
Dekho raaton me hai tanhai
Ek ajeeb si
Dekho adaon me rusvai
Ek ajeeb si
Kyun hai tu door ho ke bhi
Mere qareeb si
Pyaar na ho to daulat bhi
Lage gareeb si
Kash pe kash nas nas me bas
Basi tu kare mujhe bebas
Chal hans de kehde
Mujhe yaar ab
Un pe bhi aane lagi
khuaar ab
Par yaa rab tu hi krde koi
Mushkil asaan meri
Aik shakhs do chehre in se
Chuta de jaan meri
Kyun ke jo jaan meri
Wo mujhe janti nae
Sab k jhoot ko sach
mere sach ko bhi sach
maanti nae
Kis kaam ki yeh shikayat jab
koi sunne waala hi nae
Tu jabse gayi hai mei e
Maut ko kabhi taala nae
Manzil dikh rahi hae per
Wahan jany ka rasta hi nae hai
Log shikwa krte hain kehte
Talha tu hansta hi nhi hai
Teri masoomi meri maayusi barochusi
Mujhe ab sirf pasand hai
Nasha andhera aur khaamoshi
Chorous:
Kya hoa gar dil mein tere
Mujhko le kr kuch nahi hai
Thori thori hi sahi pr sansain ab bhi
Chal rahi hein
Ishq mera ek mazaar aur
Aashiqui meri qabar hai
De bhi jaao haazri ab
Sirf teri muntazir hein
Shauq tha yaar faqiri ka
Kuch ishq ne dar dar rol diya
Kuch sajna qasar na chori thi
Kuch zeher raqibaan ghol diya
Kuch aise bhi raahein mushkil thi
Kuch baat me ghum ka tok bhi tha
Kuch sheher ke log bhi zaalim they
Kuch mujhe marne ka shauq bhi thaa..
Kya hua gar dil mein tere
Mujhko le kr kuch nhi hai
Thori thori hi sahi pr
sansain ab bhi chal rahi hain
Ishq mera ek mazaar aur
Aashiqui meri qabar hai
De bhi jaao haazri ab
Sirf teri muntazir hai