menu-iconlogo
logo

Soorajmukhi Tera Pyaar

logo
بول
soorajmukhi soorajmukhi

tera pyaar anokha hai

har subah ko khilna hai

har shaam ko murjhana hai

sooraj ne kya tere

kis marm ko jaana hai

ye kaisa rishta hai

ye kaisa naata hai

soorajmukhi

sooraj ki kirnen ye suneheri

jab karti tera aalingan

komal komal pankhudiyon mein

bhar jaata hai madhu spandan

jaise asha ki kirnon ka

preet bhara nirmal abhinandan

mehka deta man aangan mein

saanson ki sargam ka chandan

neh nimantran pakar

jeevan jyot jala kar

kirnon ke sahaare tera

ye jeevan chal padta hai

ye kaisa rishta hai

ye kaisa naata hai

soorajmukhi

pyase adhron par anjaane mein

koi geet jo pyaar ke aa jaye

man ko chhukar dard ka jhonka ye

ashq bane nas

nas mein sama jaaye

jaise shabnam se bheege

phoolon ka aanchal kora

koi kiran sehla jaaye

dard ko yun sehla kar

man ko yun bharma kar

kirnon ke sahaare tera

ye jeevan chal padta hai

ye kaisa rishta hai

ye kaisa naata hai

soorajmukhi

gehn andheri raahon mein

kyun saath ye kirnen

chhod gayi hain

in modon par preet ki dori

ka ye bandhan tod gayi hain

jeevan ke upwan ke maali

jab na raha koi bagiya mein

kaun tere is moun prashn ka

uttar dega is duniya mein

tod ke pyara sapna

sukh samet kar apna

kyun chhod ye saath adhura

ye jeevan chal padta hai

ye kaisa rishta hai

ye kaisa naata hai

soorajmukhi

soorajmukhi

tera pyaar anokha hai

har subho ko khilna hai

har shaam ko murjhana hai

sooraj ne kya tere

kis marm ko jaana hai

ye kaisa rishta hai

ye kaisa naata hai

soorajmukhi

Soorajmukhi Tera Pyaar بذریعہ Bhupender Singh - بول اور کور