Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen to kahin aasman nahin milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta
Jise bhi dekhiye woh
apne aap mein ghum hai
Jise bhi dekhiye woh
apne aap mein ghum hai
Zuban mili hai magar
hum zuban nahin milta
Zuban mili hai magar
hum zuban nahin milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta
Bujha saka hai bhala kaun waqt ke shole
Bujha saka hai bhala kaun waqt ke shole
Yeh aisi aag hai jismein
dhuaan nahin milta
Yeh aisi aag hai jismein
dhuaan nahin milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta
Tere jahan mein aisa
nahin ki pyaar na ho
Tere jahan mein aisa
nahin ki pyaar na ho
Jahan ummeed ho iski wahan nahin milta
Jahan ummeed ho iski wahan nahin milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen to kahin aasman nahin milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta