Ilahi Teri Chaukhat Par Bhikhari Ban Ke Aya Hoon ..
Sarapa faqr hun, ijz-o-nadamat” saath laya hoon
Ilahi Teri Chaukhat Par Bhikhari Ban Ke Aya Hoon ..
Sarapa faqr hun, ijz-o-nadamat” saath laya hoon
Bhikari woh ke jis ke Pass jholi he na pyala hai
Bhikari woh ke jise Hirs o hawas ne mar dala hai
Mataa-e-deen-o-danish nafs ke hathon se lutwa kar
Sukoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent chadhwa kar
Luta kar saari poonji ghaflat-o-isyaan ki daldal mein
sahara lene aya hun tere Kaabe ke Anchal mein
Gunahon ki lipat se qaynat-e-qalb Dil ki Duniya se afsurda”
Irade muzmahil Kamzor himmat shikasta hosle murda
kahan se laon taqat dil ki sachi Tarjumani ki
ke kis janjaal mein Guzrin hain zindagi ki ghariyan
Khulasa ye ke bas jal bhun ke apni roo-siyahi se
Sarapa faqr ban kar apni halat ki tabahi se
Tere darbar mn laya hun apni ab zabun haali
Teri chokhat ke jo adaab hain main un se hun khali
Ye tera ghar hai tere mehr ka darbar hai maula
Sarapa noor hai ek mohabbat-e-anwaar hai maula
Teri chokhat ke jo adaab hain main un se hun khali
Nahi jisko saleeqa mangne ka wo sawaali hun
Zuban ghalt-e-nadamat dil ki tarjumaani per
Khudaya raham meri iss zabaan-e-ijz-zabani per
Ye aakhen khushk hain, yaa rab inhe rona nahi aata
Sulagte daag hain dil me, jinhe dhona nahi aata
Ilahi teri chokhat per bhikhari ban ke aya hoon
Sarapa faqr hun, ijz-o-nadamat” saath laya hoon
Sarapa faqr hun, ijz-o-nadamat” saath laya hoon
Thanks a lot for listening ,sorry for any mistake,
waseem mirza star maker