Gori Tera Gaon Bada Pyara
Maein To Gaya Maara,
Aake Yahan Re,Aake Yahan Re
Us Par Roop Tera Saada
Chandrama Jyon Aadha,
Aadha Jawaan Re
Gori Tera Gaon Bada Pyara
Maein To Gaya Maara,
Aake Yahan Re,Aake Yahan Re
Ji Karta Hai Mor Ke Paon Mein
Payaliya Pehna Doon
Kuhu Kuhu Gaati Koyaliya Ko
Phoolon Ka Gehna Doon
Yahin Ghar Apna Banane Ko
Panchi Kare Dekho
Tinke Jama Re, Tinke Jama Re
Gori Tera Gaon Bada Pyara
Maein To Gaya Maara,
Aake Yahan Re,Aake Yahan Re
Rang Birange Phool Khile Hain
Log Bhi Phoolon Jaise
Aa Jaye Ek Baar Yahan Jo
Jayega Phir Kaise
Jhar Jhar Jharte Hue Jharne,
Man Ko Lage Harne
Aisa Kahan Re, Aisa Kahan Re
Us Par Roop Tera Saada
Chandrama Jyon Aadha,
Aadha Jawaan Re