jiss gali mein
tera ghar na ho baalma
uss gali se
humen to guzarnaa nahin
jo dagar tere dwaare
pe jaati na ho
uss dagar pe
humen paanv rakhna nahin
jiss gali mein
tera ghar na ho baalma
zindagi mein kai rang raliyaan sahi
har taraf muskuraati ye kaliyaan sahi
zindagi mein kai rang raliyaan sahi
har taraf muskuraati ye kaliyaan sahi
khoobsurat bahaaron ki galiyaan sahi
jiss chaman mein
tere pag mein kaante chubhe
jiss chaman mein
tere pag mein kaante chubhe
uss chaman se
humen phool chunna nahin
jiss gali mein
tera ghar na ho baalma
haan ye rasmen ye kasmen sabhi tod ke
tu chali aa chunar pyaar ki odh ke
haan ye rasmen ye kasmen sabhi tod ke
tu chali aa chunar pyaar ki odh ke
yaa chala jaaunga main ye jag chhod ke
jiss jagah yaad teri sataane lage
jiss jagah yaad teri sataane lage
uss jagah ek pal bhi theharnaa nahin
jiss gali mein
tera ghar na ho baalma
uss gali se
humen to guzarnaa nahin
jo dagar tere dwaare
pe jaati na ho
uss dagar pe
humen paanv rakhna nahin
jiss gali mein
tera ghar na ho baalma