(Yabne Zehra (a.s) Ya Abbas (a.s)
(Yabne Zehra (a.s) Ya Abbas (a.s)
Ghazi Alam Tera Uncha Rahega
Ghazi Alam Tera Uncha Rahega
Kal Bhi Alam Tera Uncha Raha Hai Uncha Raha Hai
Aaj Bhi Hai Aur Kal Bhi Rahega
Tere Alam Ke Saaye Mein Dunya
Apni Muraadein Maang Rahi Hai..eee
Tere Alam Ke Saaye Mein Dunya
Apni Muraadein Maang Rahi Hai
Tere Alam Ke Saaye Mein Aa Kar
Tere Alam Ke Saaye Mein Aa Kar
Jo Nahi Maanga Woh Bhi Milega
CHORUS
Haan Yeh Alam Hamza (a.s) Ka Alam Hai
Haan Yeh Alam Jaffar (a.s) Ka Alam Hai….
Haan Yeh Alam Hamza (a.s) Ka Alam Hai
Haan Yeh Alam Jaffar (a.s) Ka Alam Hai
Haan Yeh Ghadeer e Khum Ka Bharam Hai
Haan Yeh Ghadeer e Khum Ka Bharam Hai
Sab Parchamon Ka Yeh Maula Rahega
CHORUS
Bhool Nahi Sakhta Yeh Zamaana
Paani Pe Parcham Ka Lahraana...aaa
Bhool Nahi Sakhta Yeh Zamaana
Paani Pe Parcham Ka Lahraana
Haath Kataana Mashk Bachaana
Haath Kataana Mashk Bachaana
Ban Ke Wafaa Tu Zinda Rahega
CHORUS
Yun Toh Buht Zainab (a.s) Pe Sitam Tha
Lekin Wo Gham Jo Koh e Alam Tha....aaa
Yun Toh Buht Zainab (a.s) Pe Sitam Tha
Lekin Wo Gham Jo Koh e Alam Tha
Woh Tera Gham Woh Tera Gham Tha
Woh Tera Gham Woh Tera Gham Tha
Dil Tere Gham Mein Rota Rahega
CHORUS
Zer e Alam Rehan O Sarwar
Noha Padho Yun Ashk Baha Kar...rrr
Zer e Alam Rehan O Sarwar
Noha Padho Yun Ashk Baha Kar
Shaad Hun Zehra (a.s) Bint e Payyambar
Shaad Hun Zehra (a.s) Bint e Payyambar
Ashk e Azaa Yeh Behta Rahega
CHORUS