menu-iconlogo
logo

Hussain Zindabad

logo
بول
Goonjti fazaaen hai, maatami sadaaen hai.

Jis taraf nazar daalein qaafle hazaaron hain,

Yaa hussain yaa hussain x4

Qaaflon k seeno mei, Dard ke safeeno mein,

Ashq o khoon ke dhaare, door tak alam saare,

Yaa hussain yaa hussain x4

Yeh karrodh haan insaan,

dekh toh Ali ki jaan,

tere gham mei hai giryaa

Inki karbala manzil

Hai hateliyon par dil

Jhel kar har ek mushkil

Ek sada labo'n par hai

Tera gham rhe aabaad

AYE HUSSAIN ZINDABAAD x6

Yaa hussain yaa hussain x4

Maulaana Yaa Hussain x6

Zindabaad Yaa Hussain x2

Zindabaad arze karbala...

Maulaana Yaa Hussain x6

Deen e haq ka paasbaa'n

Rasool e haq ka tarjuma

Hussainiat ka saayebaa'n

Mohabbato'n ka aashiyaa'n

Tu nabi ka zeyro zayn hai

Tu Ali ka noore ain hai

Fatima ke dil ka chayn hai

La ilaah... YAA HUSSAIN

Deen panaah ... YAA HUSSAIN

Hussssssaaaiinnnn

Zindabaad Yaa Hussain x2

Zindabaad arze karbala...

Maulaana Yaa Hussain x6

Salaam shaahe karbala

Tu iraada e khuda

Bada bulanddd hauslaa

Nahi hussain doosra

Kabhi kahin na tera sar jhuka

Balandd tha balandd yeh sar raha

Hussain izzaton ka baadshah

Marhaba ... YAA HUSSAIN

Chha gayaa ... YAA HUSSAIN

Zindabaad Yaa Hussain x2

Zindabaad arze karbala...

Maulaana Yaa Hussain x6

Pukaare ahle qaafla

hussain ne jo yeh kaha

Safar hai ab yeh maut ka

Har ek rafeeq bol utha

Nahi hai koi maut ka khatar

Hussain hai jab apna humsafar

Ajal milaaye humse kya nazar

Rehnuma ... YAA HUSSAIN

Peshwaaa... YAA HUSSAIN

Zulmato'n se jung ki

Biddato'n se jung ki

Nafwato'n se jung ki

Munafiqo'n se jung ki

Tu nizaame inqelaab hai

Tu payaame inqelaab hai

Tu imame inqelaab hai

Inqelaab ... YAA HUSSAIN

Kaamyaab ... YAA HUSSAIN

Watan se apne door tha

Tu marge bekasoor tha

Ghamo se choor choor tha

Magar woh kya shahur tha

Sitam uthake hosh mei raha

Naheef hoke josh mei raha

Lahoo se sukhr posh mei raha

Josh kya ... YAA HUSSAIN

Hosh kya ... YAA HUSSAIN

Woh saara ghar luta gaya

Woh khoon mei naha gaya

Sina pe sarr bhi aagaya

Magar woh deen bacha gaya

Gawaahi de rhi hai karbala

Hussain Kaamyaab ho gaya

Yazeed ka nishaan bhi na raha

Soorma ... YAA HUSSAIN

Har jagah ... YAA HUSSAIN

Laraz rahi thi karbala

Tadap rahi the ambiya

Jo sajda aakhri kiya

Nibha ke waada e wafa

Na zeen na zameen par raha

Gawaah hai dua e naahiya

Tadap rahe hai hujjat e khuda

As salaam ... YAA HUSSAIN

Yaa imam ... YAA HUSSAIN

Rehaan-o-sarwar e aza

Hussain ka hai maujiza

Jo inke darr pe aagaya

Misaale hur sawar gaya

Pukaarti hai sabko karbala

Hussain ka hai darr khula hua

Fakir ko kare jo baadshah

Rab tera ... YAA HUSSAIN

Sab tera ... YAA HUSSAIN

Hussain Zindabad بذریعہ Nadeem Sarwar - بول اور کور