Chal diye tum kahan pe? Dekho yahan aa ke
Raaston mein hi dil kho raha hai
Chal diye tum kahan pe? Dekho muskura ke
Aankhon mein hi dil kho raha hai
Ek umeed ek pyaar ki nazar mein kho gayi
Ek zindagi thak-haar ke qabar mein so gayi
Ek raat thi jo hisse mein aayi thi ab magar
Tumse mili toh woh mujhse bekhabar si ho gayi
Ek umeed tujhse thi judi aur aaya tu nahi
Khwaab tha mera toh phir mujhe jagaaya kyun nahi?
Itne gam jo mil rahe hain mujko, iski kya wajah hai?
Maine to kabhi tumhara dil dukhaaya bhi nahi
Dil dukhaaya jab nahi hai, to hai khud se kyun khafa?
Us umeed, us pyaar ki nazar mein thi wafaa
Teri zindagi to so gayi par meri ro rahi hai
Meri raatein mujhse raazi hain par din hai bewafaa
Ek umeed teri mujhse thi judi, yeh maan li
Jaagi khwaab se toh haqiqat ne meri jaan li
Tum mujhko to pukaaro, sirf mera naam lo
Aao, meri janib, aake mera haath thaam lo
Ke ab nahi hai waadon par yaqeen
Tum bhi woh nahi ho aur hum bhi woh nahi
Ke kyun nahi hai teri woh hasi?
Main to ro raha hoon, tu to ro nahi
Chal diye tum kahan pe? Dekho yahan aa ke
Raaston mein hi dil kho raha hai
Chal diye tum kahan pe? Dekho muskura ke
Aankhon mein hi dil kho raha hai
Kamron mein safhe mere ye phailey hi rahenge
Khwaab aankhon main bas tere hi rahenge
Tujhse dooriyan ho jitni bhi bhale
Hum tere hi the, tere hi hain, tere hi rahenge
Sawaal zindagi thi, tum jawaab ho gaye ho
Dekhte-hi-dekhte tum khwaab ho gaye ho
Sochta tha, bhool jaaunga tujhe
Par bhool-bhool ke tum meri yaad ho gaye ho
Kaash ke tum samajh paati mere pyaar ko
Dil ko apne faisle ka ikhtiyaar do
'Gar tumhein qubool hai dil ki saudebaazi
Mera intezaar le ke behisaab pyaar do
Vaar do mujhpe saari zimmedariyaan
Utaar do tum kitaabon mein kahaniyaan
Kis tarha se kat rahi hai, mujhpe kya guzar rahi hai
Tumne jaana hi nahi hai kabhi, jaan-e-jaan
Ab tum yaad aa rahe ho, behisaab aa rahe ho
Door ho ke bhi tum mere paas aa rahe ho
Is-qadar bhi berukhi koi karta hai bhala?
Meri jaan jaa rahi hai, tum kahan jaa rahe ho?
Dil toot sa gya hai, aankhein yaad kar rahi hain
Tasveeron se teri kab se baat kar rahi hain
Dhadkane bhi ab yehi phukaarti hain
"Aa jaao", "aa jaao"
Chal diye tum kahan pe?
Dekho yahan aa ke Raaston mein hi dil kho raha hai
Chal diye tum kahan pe? Dekho muskura ke
Aankhon mein hi dil kho raha hai