menu-iconlogo
logo

Shikayat

logo
Lời Bài Hát
Zakhm dil pe hain, dawa karo

Aao mil ke rasm-e-mohabbat ada karo

Kuch na kar sako mere liye

To bus khwaab mein hi mujhse mil liya karo

Aa milo kahiin mujhse

Ki ummeedein kuch baaqi hain meri tumse

Na jaane hasrat hi rahi ho tum meri

Ki shaayad ye din aakhiri ho, ham khvaahish mein mar jaayein

Aa milo kahiin mujhse

Ki ummeedein kuch baaqi hain meri tumse

Le chalo wahaan mujhe

Main dekhta hoon aasmaan mein bhi ab tujhe

Dekha ek roz taara toot ke gaya

Maangiin bhi duaayein, par haan, tu nahiin mila

Wo aaya hi nahiin jo ik dafa gaya

Wo door itna ho gaya, main dekh na saka

Hai dhoondta vajah ab dil ye be-vajah

Hai toota is tarah se dil ki phir nahiin laga

To aa milo kahiin, o mere ham-nashiin

Main ab bhi hoon akela, ye tu samjha kyuun nahiin

Vujuud-e-dil-lagi ki aarzu nahiin

Mohabbat to wahi hai jo ki milti hi nahiin

Mohabbaton mein jhoom loon, main kya karoon, bata

Main mubtala hoon gham mein ya main gham ki hoon dawa?

Main bad-dua hoon ya dua hoon ya main hoon saza?

Ab tu bata ki main hoon ya phir tu hai laapata, tu bata

Laapata ho gaye hamaare liye tum

Itna chaaha ki tum be-wafa ho gaye

Jaanaan, bhoolna tha tumhein, Khuda ki qasam

Haath jab bhi uthe tum dua ho gaye

Honton pe dua hai, waqt tham nahiin raha

Tu na mil saka, tu bas nazm mein hi raha

Duniya ki mohabbaton ne sab badal diya

Tera gham ajeeb hai, wo wahiin ka wahiin raha

Bhoolna main chaah raha tha tujhko is tarah

Na teri jagah koi ho, na ho tu wahaan

Ab teri talaash mein pata chala mujhe

Tumse hi shuru hain raatein, tumse hi subah

Tu mil gai to ja milegi zindagi mujhe

Jo tu nahiin to chaahiye kuch nahiin mujhe

Khwaab tu hai, saans tu hi, raat tu subah

Kaat doonga zindagi main dekhke tujhe

Dekhle mujhe

Ye kat rahi hai zindagi ab dekhke tujhe

Toot hi gaya hoon, tu samet le mujhe

Samet le mujhe, kahiin bikhar na jaaoon main

To aao na, mere aansu ko ponchho aur phir se rulaao mujhe

Mera sab kuch hai tere liye

To aao na, dil ki baatein karo aur phir se sataao mujhe

Mera sab kuch hai tere liye

Mil jaaoon main tumhein agar raaston mein kahiin

Tum rasman hi pooch lena mujhse haal mera

Main muskura kar, gham chhupa kar hi jawaab doonga

Main yahi karta aaya hoon, ye hai kamaal mera

Shikayat của AUR - Lời bài hát & Các bản Cover