menu-iconlogo
logo

MITTI

logo
Lời Bài Hát
Koi aakhri umeed bhi bachi hai to maar do

Bhar mere moonh mein mitti (mitti)

Nihaar mujhe, thook de (thook)

Tod de badan, paa tripti (tripti)

Savaar mujhe, moot de

Bhookh lage, khaa mera dil bhi

Jala mere fefde, phookh le

Kha meri rain, kha din bhi

Cheer mere, cheer sab, loot le

Ghoor mere aankhein angoor si

Dabaa ke nikaale sharaabein

Wo botalein tod ke peeche bhi bhaagenge, khoon ke pyaase

Junoon bataa ke hum gaadenge laashein

Waise to main shaant, par yahaan daure pade (facts)

Mere naam ki kahaaniyon se chhore bhage

Mohre chaalon ki baatein kholenge agar

Khaulaa mera khoon to fir sabke yahan laude lage (haan)

Jaaga main neendo se, bhaaga main bheedon se

Daaman phir bharaa ye chheton se

Khoon baha mera par theek hoon main

Jhooth bola, baby, sorry, thoda dheet hoon main

Fikar kya hi ho fakeer ki

Jo nadi se bicchde, vo neer ki

Bante dekha maine chheeton ka talaab

Mere lahu ki sharaab piye tu shamsheer si

Khooni darindon ki aakhein parindon si saaf

Beejon se bote, hum ginte nahi laash

Arey bhai, kaise tera badlaa swabhaav?

Itna to neech kabhi bante ni aap

Dhass denge saanp, kashti pe aag, bajte ye kaan

Raste pe kaanch, uspe hi naach

Tedhe vichaar, maangu ilaaj, apne he aap se

Kya hum kiye jo raat aaye?

Ye mere din kyun dhalein?

Kaalima kyun chhaye?

(Kyun? Kyun? Kyun? Kyun? Kyun? Kyun?)

Aisi jagah dhoondhein

(Kyun har jagah dhoondhein hum aisi jagah?)

Chain jahaan paayein

(Haan, milega zaraa sa chain vahan)

Bulbul jahaan bole

(Jo bolta hai, bolne do, saara jahaan)

Raina mujhe khaaye na

Mann mein dabaa ke jo rakhoge, niklega fatt ke ye gussa

Baatunga aandhi paros ke, mere andar ka ye hissa

Mann mein dabaa ke jo rakhoge, niklega fatt ke ye gussa

Saari bhadaas main thook ke, lagne de tujhe ko ye qissa