Jaana tu aata nahi
Sapnon se jata nahi
Mil jaaye kya hi baat thi
Kamil ho jaata wahin
Jaana mere sawalon ka manzar tu
Haan main sukha sa sara samandar tu
Haan gulabi si surkhi jo dikhti thi
Phir se dikh jaye toh jee bhar ke
Saah bhar loon
Kaati kitni thi raate nai soya main
Tujhko kitna bulaya phir roya main
Teri saari woh baatein kyun sone nahi deti
Sataye mujhe haan phir khoya main
Tu aata nahi
Sapnon se jata nahi
Mil jaaye kya hi baat thi
Kamil ho jaata wahin
Jo bhi ho raaz hai tera
Mujhko batata nahi
Mil jaaye kya hi baat thi
Kamil ho jata wahin
Sambhal ke rakha woh phool mera tu
Meri shayari me zaroor raha tu
Jo aakhon mein pyari si duniya basayi
Woh duniya bhi tha tu
Woh lamha bhi tha tu
Haan lagte hain mujhko yeh kisse satane
Deta na dil mera tujhko bhulane
Adhoore se vaade adhoori si raatein
Ab hisse mein dakhil mere bas woh yaadein
Rehna tha banke humdum tera
Aise jana hi tha phr tu kyun thehra
Ab na maane mera dil ke na tere kabil
Thi ek arzoo ki main kehta raha par
Tu aata nai sapnon se jaata nai
Mil jaaye kya hi baat thi
Kamil ho jaata wahin
Jo bhi ho raaz hai tera
Mujhko batata nahi
Mil jaaye kya hi baat thi
Kamil ho jata wahin