Sab so gaye hain hum kyun jaage
Kyun raatein lambi laage
Khawabon mein kya vo baat nahi
Dil ke hon kaise bhi iraade
Hum peeche peeche bhaage
Aise bhi mushkilaat nahin
Chalo thoda parde hatao thodi roshni to lao
Apni aakhon se dekho zara
Chalo thoda sair pe jao thoda ghumke aao
Tum jaake to dekho zara
Duniya hai free ki sawari
Jismein ghumke sar thoda bhari-bhari lagne lage
Gham hain bahut duniya mein
Thodi khushiyon ko tum zara baat ke dekho zara
Hone lagega dil mein savera
Darne ki koi baat nahin
Chaahe ab ho jaaye andhera
Pyaar ki koi maat nahin
Kabhi na samjha koi
Khayi hai thokar kayin
Lagta tha mujhko akela hun main
Par thi peeche duniya khadi
Chal padi meri saansein khul gayi aankhein
Haathon ki apni lakeerein mita ke
Han likh likh ke bhar di hain sari kitabein
Sapnon ke sheher mein basta bana ke
Savere mein dekhun main khwaab
Ki tu hai ahad-e-shabaab
Baatein main jo kehne waala hun
Uske tum saath mein gaao janaab
Chalo thoda parde hatao thodi roshni to lao
Apni aankhon se dekho zara
Chalo thoda sair pe jao thoda ghumke aao
Tum jaake to dekho zara
Duniya hai free ki savari
Jismein ghumke sar thoda bhari-bhari lagne lage
Gham hain bahut duniya mein
Thodi khushiyon ko tum zara baat ke dekho zara
Hone lagega dil mein savera
Darne ki koi baat nahin
Chahe ab ho jaaye andhera
Pyaar ki koi maat nahin
Hone lagega dil mein savera
Darne ki koi baat nahin
Chahe ab ho jaaye andhera
Pyaar ki koi maat nahin
(Hone lagega dil mein savera)
(Chahe ab ho jaaye andhera)