Kyon chalti hai pavan
Kyon jhume hai gagan
Kyon machalta hai mann…
Na tum jano na hum
Na tum jano na hum
Kyon aati hai bahaar
Kyon lutta hai karaar
Kyon hota hai pyaar…
Na tum jano na hum
Na tum jano na hum
Ye madhoshiyaan ye tanhaiyaan
Tasabur mein hai kiski parchhaiyaan
Ye bhiga samaan umangein jawaan
Mujhe ishq le ja raha hai kahaan
Kyon gum hai har disha
Kyon hota hai nasha
Kyon aata hai mazaa….
Na tum jano na hum
Na tum jano na hum…
Dhadakta bhi hai
tadapta bhi hai
Ye dil kyon achanak
behakta bhi hai
Mehakta bhi hai
Chahakta bhi hai
Ye dil kya vafa ko
samajhta bhi hai
Kyon milti hain nazar
Kyon hota hai asar
Kyon hoti hai sahar….
Na tum jano na hum
Na tum jano na hum…..
Kyon chalti hai pavan
Kyon jhume hai gagan
Kyon machalta hai mann
Na tum jano na hum
Kyon aati hai bahaar
Kyon lutta hai karaar
Kyon hota hai pyaar….
Na tum jano na hum
Na tum jano na hum….