Jane ka main naam loon
Tu hath mera thaam le
Jo ho zara tu be-sukoon
Mujhe araam na mile
Hawao′on mein main dhundta hoon tujhko yu kuch iss tarah
Inn saanso ki umeed teri khushboo inse aa mile
Umeed meri aj pr hai dekha kisne kl
Hai meetha tera lehja jese ho sabar ka phall
Jo likhi maine dooriyaan wo seh raha hoon aj bhi
Ab iss adhoori dastaan pe likhi kitni shayari
Main khud bhatak chuka par teri ye zidd na hili
Ghum itne gehre mile jese ghum ho saahili
Aur wo samjhty humne sahay nahi zara bhi ghum
Ghumon ke saharey pe krte tujhpe shayari
Shehzade apne ghr ke tere dar pe roo pare hain
Raaho'on mai hai kaante nange paa′oon
Chal pade hai
Na puch hum ko kiya hua, tu dede humko bss dawa
Baha mtt ansoo saamne
Khuda ka wasta tu jaa
Chehre ye tere badalte hain kaise
Ab inke aasre pe kab tak thehrein
Bahaa de mujhe aanso'on mein hii
Q hai nahi yaqeen ke tu saath nahii...
Manga khuda se tha hanshkar zamane se maanguga ro kr main
Rota hoon tanhaaiyon mein hansata hoon sabko kya joker main?
Dega jab thokar zamana toh aansu kya mere tum ponchoge?
Meri talaash mein darbadar ghoomo gaye khud ko bhi kho do ge
Diye hain dhoke maine bhi par mera bhi yeh dil toota hai
Ukhra nhi rehta main tumse yeh shaks toh khud se bhi rootha hai
Chuta hai tera dar jab se
Main khud se mila hoon, mila hoon main rab se
Ajabsi hi hain haal main dooba hua hoon
Tu mujhko na chero main toota hua hoon
Tune hi saaf kiye the yeh aansu aur tune kaha tha ki rote nhi hain
Tune kaha tha sambhal ke yeh duniya hai rangeen
Rangon mein khote nhi hain
Dhundega mujh ko yahan kon?
Hai wajah yeh saaf ke khud ko hum khote nhi hain
Ro rha aaj bhi yaad mein teri, yeh aansu gawah hai yeh ponchy nhi hain
Likhne jo baithun toh girte hain aansu
Sawal hai mera milega kahan tu
In askho ki mehfil mein baithe zakham hain
Aur thehra hai dard aur dard ki dawa tu
Likh liya haathon pe naam toh tera pr qismat mein likhta main kaise?
Padhta tha chehra main tera ab
Chehra badal chuka padhta main kaise?
Chehre ye tere badalte hain kaise
Ab inke aasre pe kab tak thehrein
Bahaa de mujhe aanso'on mein hii
Q hai nahi yaqeen ke tu saath nahii...
Ye gana hai shuru se aaj tak
Dekhe jo maine hain chehre
Ye gana hai shuru se aaj tak
Maslay zindagi mein aaye jo mere
Aaye khuda jo liye hai tujhse main kaise lautaunga
Sochun main raton mein
Karta hoon main pyar, main kese bataunga
Sab pareshan ke gaata hoon ganay mein
Ye sab apne aap ko kho rahe
Chehray per hasi par andar se ro rahe
Dil o jaan se jo wadey hain tode
Toh wadey karna maine jabhi hain chhode
Jo bhi kehta hoon soch ke kehta hoon
Mehfilon mein ab chup chup sa rehta hoon
Aur nashao mein dhundoge kahan tum
Jaam peeke mekhane ma bheta hoon
Dil mein ab bhi teri jagah hai
Takaluf phir kaisa mehmano main
Janaza uthe tere ghr se
Hum soyam manaenge mehka no mein
Sab likha hai dil se aur bol chuke
Aur kitni kitaben hum khol chuke
Jo kehna tha keh chuke
Dost hum qalam aur kagaz hi hurmat hi bhool chuke
Qalam ka likhawa mite na kabhi
Diye jo dard tune hatena kabhi
Par ye kaisa dard jo diye
Sunake ke bhi bante na kabhi
Kaise hum harenge jung
Koi apne maidaan mein dare na kabhi
Aur kitne maroge tum
Amrat peene wale mare na kabhi
Chehre ye tere badalte hain kaise
Ab inke aasre pe kab tak thehrein
Bahaa de mujhe aanso′on mein hii
Q hai nahi yaqeen ke tu saath nahii...