menu-iconlogo
logo

Tu hai kahan

logo
Liedtext
Ki jab mai had se agey badh gaya tha ashiqi me

Ya′ani zindagi ko ley raha mazaq hi main

Phir mazaq hi me mil gaya sab khak hi me

Chhu kar aya manzilein to tanha tha main wapsi mein

Jaise phool torey honge tumne jholi bharr ke

Main wo phool jo k reh gaya tha shaakh hi me

Jaise khuwab hi me khuwabgaahein ankh hi me

Pal se pal me kya hua tum reh gaye bass yaad hi me

Ek Sawal Machalta hai mere dil me kabhi

Tujhe main bhool jaa'on ya tujhe main yaad karun

Tujhi ko soch ke likhat hu jo bhi likhta hun

Ab likh raha hun to phir q na ek sawal karun

Main iss sawal se ghum ko badal do′on khushiyo'on me

Par in bejaan si khusiyo'on se kiya kamaal karun

Par ab sawal bhi kamaal tu sambhaal ley filhaal

Ye sawaal bichaa jaal kiya me chaal chalun

Chaal chal tu apni main tujhe pehchaan lo′onga

Main apni mehfilo′on me sirf tera hi naam lo'onga

Tujhe pasand hai dheemah lehjaa aur bass khamoshiya′an

Main tere khaatir apni khud ki saansein tham lo'onga

Kya tere saarey aansu mere ho sakte hain

Aisa hai to tere khaatir hum bhi roo saktey hain

Mere khatir mere rone par bss tum hans dena

Ek bar tere muskurahat ke peechey hum sab kuch kho skate hain

Kya meri mohabato′on ka koi hisaab nahi hai

Kyun tere ankho'on me mere liye koi khuwaab nahi hai

Tujhe kya hi karun ghumzada ab jane de

Key tere pass mere piyaar ka jawaab nahi hai

Kitni muddatein hui hain tumne khat kyun nahi bheja

Gaa leta hun tere liye mausiqi nahi hai pesha

Aaney ki khabar hi nahi teri ab

Ab kya muasamo′on se puchu tere aaney la andesha

Ankho'on me aanso'on nahi hai

Kahan hai tu, Kahan tu nahi hai

Dil ko ye ab jaan′na hi nahii

Bas tum chale aaoo

Tu hai kahaan?

Khuwab′on ke is shehar me mera dil tujhe dhuundta

Dhuundtaa

Arsa hua

Tujhko dekha nahi tu na jaane kahan chhup gaya

Chhup gaya

Aao phir se hum chalein

Thaam lo ye haath, kar do kam ye faslay

Na pata ho manzilon ka, na ho rastey

Tu ho main hu baithein dono phir hum taaron ke talay

Na subah ho phir, na hi din dhale

Kuch na keh sakein, kuch na sun sakein

Baatein sari woh, dil me hi rahein

Tum ko kya pata hai kya ho tum mere liye

'Kehkasha′ ho tum

'Kahaniyon ki pariyon′ ki tarhan ho tum

Mujh me aa sake na koi is tarhan ho tum

Ho 'Yaqeen′ tum mera ya phir 'Gumaan ho tum mmmmmmm

'Aashiyan′ ho tum

Main ′Bhatka sa musafir' aur ′Makaan' ho tum

Meri manzilon ka ek hi ′Raasta' ho tum

Dhuundta hai dil tujhe bata kahan ho tum? mmmmmm

Ho jahan kahin bhi

Aao paas taake aansu mere tham sakein

Yaad aarahe ho tum mujhe ab har lamhe

Aisi ′Zinadagi' ka kiya

Jo tum 'Zindagi′ me hoke meri ′zindagi' na ban sake

Sochta rahun ya bhuul jaaun ab tumhe?

Tum mil hi na sakogi to phir kaise chahun ab tumhe

Tere saare khuwab pal me jod denge

Jisme tu hi na basega phir wo dil hi tod denge

Chhod denge wo shehar, ke jisme tum na hoge

Tuut jayenge makaan, wo saare hasraton ke

Gujre pal jo saath tere

Wo pal hain bas sukoon ke

Mil lo ab tum is trah ke phir nahi miloge

Tu hi tha saath me mere

Kaise main jiun ga akele

Taare gingin ke hogayai hai subah

Tu hai kahan?

Khuwabo′on ke is shehar me mera dil tujhe dhuundta

Dhuundta

Arsa hua

Tujhko dekha nahin tu na jaane kahan chhup gaya

Chhup gaya

Tu hai kahan von Aur - Songtext & Covers