menu-iconlogo
logo

Rastay

logo
Liedtext
Na raha, woh silsila

Teri yaadon ka, jo tha bewajah

Aaj bhi, rota hain dil

Teri yaad mein, kyun bewajah

Manzilen, jo aik hain

Toh saath chal, mere saath aa

Faisla, jo tha sahi

Tere rastay, kyun hain juda

Jab koi khash bn jata hain, ek ehsaas bn jata hain

Dil mein raaz bn jata hain, dil shafaf bn jata hain

Shaks insaan bn jata hain, dil ka maan bn jata hain

Phir muqar kar woh wadon se anjaan bn jata hain

Jabse tu paas nhi rha, koi ehsaas nhi rha

Dil ab shafaf nhi rha, mujhme koi raaz nhi rha

Tu ab maan kyun nhi rha, woh insaan nhi rha

Har shaks mujhe janke anjaan hi rha

Pehle bata deti rastay hamare alag hain

Jo bhi faisle hue wo sabhi sare galat hain

Ek hi rastay pe hokr tum ab fasle mein ho

Accha hain fasle mein raho mujhe padta farak hain

Tumhe chand pasand hain aur mujhe tare pasand hain

Mujhe raat pasand hain, tumhe ujale pasand hain

Tumhe chalna hain makhmal pr saahi libaas mein

Main banda faqeer mujhe chale pasand hai

Na raha, woh silsila

Teri yaadon ka, jo tha bewajah

Aaj bhi, rota hain dil

Teri yaad mein, kyun bewajah

Manzilen, jo aik hain

Toh saath chal, mere saath aa

Faisla, jo tha sahi

Tere rastay, kyun hain juda

Samate hain mujhme khyaal ab bhi tere

Jawab ab bhi baaki sawalon ke mere

Hain teri wajah se yhi haal mera

Jab tu yaad aayi, saharon pe thehra

Andhera bhi mujhse hain keh rha

Jo likhta hain tu, woh mujhse bhi gehra

Sabera hain tujhse pr tu apni mera

Main tera samandar aur tu thehra chehra

Jo tu krti hain baatein abb woh baatein galat hain

Dilon ke masalon mein phansti hain jaate galat hain

Tanhaai chalna hain maan dil ye meri

Tu mud jaaye yahan se aage honi wali raahein alag hain

Tujhe khota nhi toh likhta main dard kaise?

Taras khate nhi toh hote humdard kaise?

Humdard diyo naam ke tum bss apne kaam ke

Ankhein padhke bata doon hai ye marz kaise

Na raha, woh silsila

Teri yaadon ka, jo tha bewajah

Aaj bhi, rota hain dil

Teri yaad mein, kyun bewajah

Manzilen, jo aik hain

Toh saath chal, mere saath aa

Faisla, jo tha sahi

Tere rastay, kyun hain juda