Tumhare jaane kahan ghum ye aankhein bolti hain
Mere khoon mein zeher ye dekh gholti hain
Mujhko kehkasha ke raastepe tum nahi mile meri kalam hui bedam yeh dum sa todti hain
Kholti hain ek tijori jisme tere khat hain
Khat padhu main padh ke rou kaisi meri latt hain
Main hu ab bhi usse kya mila tha tu jaha par
Tu hanste badh gaya par chokhat teri meri had hain
Maula de raha hai sab par tu hi paas nahi
Par ye kami teri hai lene deti saans nahi
Tu toh ho gayi alag ha tujhko dard nahi
Abhi mohabbat ka meri tujhe ehsaas nahi
Koi aas nahi ab mai toota aasma se
Tu mujhko dekh ab bhi tujhse mera vaasta yeh
Aur de aawaz mujhko usi dillagi se
Laut aaunga narak se dekh aazma ke
Tujhko call main karu par kar ke kaat deta
Main teri yaadon se hi gum ko apne baant leta
Uth raha hu koi to mera khayal kar le
Galtiyon pe meri mujhko basant deta
Itni teri bewafa aur besharam ye dill lagi hai
Mohobbat thi kisi ki aaj tak sagi hui hai
Aankhe band karke leta par mai soya nahi
Puch ruh se meri ab tak kyu jagi hai
Kyu lagan lagi hai mujhse aake tu milega
Kuch batayega majboori jakhmi ye silega
Aur ro main dunga tere kandhe pe ye rakh ke sar
Hoga waqt na uss waqt shikwe or gilega
Khilega ye phool par humara ye bharam hai
Hum hai nange paanv ret ka bhi ye garam hai
Usko dekhne ki karte hum duayein aye khuda
Phir dena sansein tham tera hi karam hai