Yeh jo aankhein
Hal chal si
Saari baatein
Pal bhar si
Kho na jau isme
Ya phir mai
Kho gaya
Kho gaya
Kho gaya
Teri yaadein
Kal tak thi
Na tu hoke
Har pal thi
Kho na jau isme
Ya phir mai
Kho gaya
Kho gaya
Kho gaya
Ab se kahi
Kahi tum yaadon mein
Baahon mein
Khwaabon mein aaya karo
Ab se kahi
Kahi inn aankhon mein aake mujhko na sataya Karo
Ab Jo mile
Kahi to muskurake meri khamoshi mein baatein milaya Karo
Teri shaam ki
Aadat mein
Dooba mai rahoon to mujhko na uthaya Karo
Tere bina gumnaam tha yeh
Benaam sa rishta bana yeh
Pehli dafa tujhko dekha to Yun hua
Saari baatein sunta rahoon main
Teri aankhein padhta rahoon main
Saamne jo tu ho dua mai shukriyaan
Teri zulf ki waadiyon mein
Khud ko kahi kho Diya hai
Kya waqt bhi tujh mein ab yeh kho gaya
Kho gaya
Kho gaya
Teri yaad ki Khushbooun mein
Har lamha thehra hua hai
Tere lafzon mein mera din kho gaya
Kho gaya
Kho gaya
Do pal ki hai kahi yahi likhi yeh dastaan
Humein na woh kal Mila par pal mein tujhse yeh vaasta
Rahe na rahe teri meri kayi kahaniyan
Ab na mude tere dar ki taraf yeh raasta