menu-iconlogo
logo

Manzilen Apni Jagah Hai

logo
Paroles
Hmmmmm..

Manzilo pe aake lut te

Hain dilon ke carvaan

Kashtiya saahil pe aksar

Doobti hai pyar ki

Manzilen apni jagah hain

Raaste apni jagah

Manzile apni jagah hain

Raaste apni jagah

Jab kadam hi saath naa de

To musafir kya kare

Yun to hai humdard bhi aur

Humsafar bhi hai mera

Yun to hai humdard bhi aur

Humsafar bhi hai mera

Badh ke koyi haath naa de

Dil bhalaa fir kya kare

Manzile apni jagah hai

Raste apni jagah

Doobne waale ko tinke ka sahara hi bohot

Dil bahal jaaye faqat

Itna ishara hi bohot

Itne par bhi aasmaan wala

Gira de bijliyaan

Koi batla de zara yeh

Doobta fir kya kare

Manzilen apni jagah hai

Raste apni jagah

Pyar karna jurm hai to

Jurm hum se ho gaya

Qabil e maafi hua

Karte nahin aise gunah

Tang dil hai ye jahan aur

Sang dil mera sanam

Kya kare josh e junoon aur

Hausla phir kya kare

Manzilen apni jagah hain

Raste apni jagah

Jab kadam hi saath naa de

To musafir kya kare

Yoon to hai humdard bhi aur

Humsafar bhi hai mera

Badh ke koi haath naa de

Dil bhala fir kya kare,Manzile Apni Jagah Hai Raste Apni Jagah

Manzilen Apni Jagah Hai par Kishore Kumar - Paroles et Couvertures