dil shaad tha ke phool
khilenge bahaar mein
maara gaya gareeb
issi aitbaar mein
mujhe teri muhabbat ka
sahaara mil gayaa hota
mujhe teri muhabbat ka
sahaara mil gayaa hota
agar tufaan nahin aata
kinaara mil gayaa hota
mujhe teri muhabbat ka
sahaara mil gayaa hota
agar tufaan nahin aata
kinaara mil gayaa hota
mujhe teri muhabbat ka
sahaara mil gayaa hota
na tha manzoor kismat ko
na thi marzi bahaaron ki
nahin to iss gulistaan mein
nahin to iss gulistaan mein
kamin thi kya nazaaron ki
meri nazron ko bhi koi
nazaara mil gaya hota
agar tufaan nahin aata
kinaara mil gayaa hota
mujhe teri muhabbat ka
sahaara mil gayaa hota
khushi se apni aankhon ko
main ashkon se bheego leta
mere badle tu hans leti
mere badle tu hans leti
tere badle main ro leta
mujhe aye kaash tera dard
saara mil gaya hota
agar tufaan nahin aata
kinaara mil gayaa hota
mujhe teri muhabbat ka
sahaara mil gayaa hota
mili hai chandani jinko
ye unki apni kismat hai
mujhe apne muqaddar se
mujhe apne muqaddar se
fakat itni shikaayat hai
mujhe toota hua koi
sitaara mil gaya hota
agar tufaan nahin aata
kinaara mil gayaa hota
mujhe teri muhabbat ka
sahaara mil gayaa hota