menu-iconlogo
logo

Tumhari Nazar Kyon Khafa Ho Gayi

logo
Paroles
Tumhaari nazar kyun khafaa ho gayee

Khataa bakhsh do gar khataa ho gayee

Tumhaari nazar kyun khafaa ho gayee

Khataa bakhsh do gar khataa ho gayee

Humara iraada to kuchh bhi na tha

Tumhaari khataa khud sazaa ho gayee

Humara iraada to kuchh bhi na tha

Tumhaari khataa khud sazaa ho gayee

Sazaa hee sahi aaj kuchh to milaa hai

Sazaa mein bhi ik pyaar ka silsila hai

Sazaa hee sahi aaj kuchh to milaa hai

Sazaa mein bhi ik pyaar ka silsila hai

Mohabbat ka ab kuchh bhi anjaam ho

Mulaaqat ki ibtedaa ho gayee

Tumhaari nazar kyun khafaa ho gayee

Khataa bakhsh do gar khataa ho gayee

Humara iraada to kuchh bhi na tha

Tumhaari khataa khud sazaa ho gayee

Mulaaqat per itne magroor kyun ho

Humari khushamad pe majbur kyun ho

Mulaaqat per itne magroor kyun ho

Humari khushamad pe majbur kyun ho

Manane ki aadat kahan pad gayee

Satane ki talim kya ho gayee

Tumhaari nazar kyun khafaa ho gayee

Khataa bakhsh do gar khataa ho gayee

La la la la la la la la la la

La la la la la la la la la

Hmmmm

Satate na hum to manate hi kaise

Tumhen apne nazdeek laatte hee kaise

Satate na hum to manate hee kaise

Tumhen apne nazdeek laatte hee kaise

Isi din ka chaahat ko armaan tha

Kubul aaj dil ki dua ho gayee

Tumhaari nazar kyun khafaa ho gayee

Khataa bakhsh do gar khataa ho gayee

Humara iraada to kuchh bhi na tha

Tumhaari khataa khud sazaa ho gayee

La la la la la la la la la la lala

Hmmmm hmm hmm

Hmm hmm hmm hmm hmm hmm

Tumhari Nazar Kyon Khafa Ho Gayi par Mohammed Rafi/Lata Mangeshkar - Paroles et Couvertures