Dil ke aramaan, aansuon mein bah gaye
Dil ke aramaan aansuon mein bah gaye
Dil ke aramaan aansuon mein bah gaye
Hum vafaa kar ke bhi tanaha rah gaye
Dil ke aramaan aansuon mein bah gaye
Zindagi ek pyaas ban kar rah gayi
Zindagi ek pyaas ban kar rah gayi
Pyaar ke qisse adhoore rah gaye
Pyaar ke qisse adhoore rah gaye
Hum vafaa kar ke bhi tanaha rah gaye
Dil ke aramaan aansuon mein bah gaye
Shaayad un ka aakhiri ho yeh sitam
Shaayad un ka aakhiri ho yeh sitam
Har sitam, yeh soch kar hum sah gaye
Har sitam, yeh soch kar hum sah gaye
Hum vafaa kar ke bhi tanaha rah gaye
Dil ke aramaan aansuon mein bah gaye
Khud ko bhi hamne mita daala magar
Khud ko bhi hamne mita daala magar
Faasle jo darmiyaan the rah gaye
Faasle jo darmiyaan the rah gaye
Hum vafaa kar ke bhi tanaha rah gaye
Dil ke aramaan aansuon mein bah gaye
Dil ke aramaan aansuon mein bah gaye