tamasha ban ke aaye hain
tamasha dekhiye
karishma ye kabhi
dekha na hoga dekhiye
tamasha ban ke aaye hain
tamasha dekhiye
karishma ye kabhi
dekha na hoga dekhiye
mehrbanon kadardanon
mehrbanon kadardanon
naye is daur mein logon ne
seekhe hain hunar kaise
bana de aadmi ko aadmi
ab janwar kaise
naye is daur mein logon ne
seekhe hain hunar kaise
bana de aadmi ko aadmi
ab janwar kaise
hamen kaise nachata hai
ye paisa dekhiye
karishma ye kabhi
dekha na hoga dekhiye
mehrbanon kadardanon
mehrbanon kadardanon
laga ke jaan ki baazi
jo har pal maut se khele
wo ye kartab dikhane ko
yahan kya kya sitam jhele
laga ke jaan ki baazi
jo har pal maut se khele
wo ye kartab dikhane ko
yahan kya kya sitam jhele
sitam ka hai ye karobaar
kaisa dekhiye
karishma ye kabhi
dekha na hoga dekhiye
mehrbanon kadardanon
mehrbanon kadardanon
kahawat bezubanon ki
nigahon mein utar aayi
humen dar hai tamasha khud
na ban jaye tamashayi
badal jaye kahan inka
iraada dekhiye
karishma ye kabhi
dekha na hoga dekhiye
mehrbanon kadardanon
mehrbanon kadardanon